Songbook Zipped
Free download 2MB
Ownwith Free Karaoke
A
B
C
D
E
F
G
H
I
J
K
L
M
N
O
P
Q
R
S
T
U
V W X Y
Z
Masood Rana
English songs =>
A
B
C
D
E
F
G
H
I
J
K
L
M
N
O
P
Q
R
S
T
U
V W X Y
Z
<=English songs
Smule Song Search : Song Titles with Spelling variations listed together
Happy smuling .....
.....Contd


Youtube videos may not stay for long. In case you find a linked video missing, please message at facebook.com/doctorkc


Bobby
Tootke dil ke tukde tukde ho gaye mere seene mein
Aa gale lagke mar jaayen
Kya rakha hai jeene mein
Ankhiyon ko rehne de ankhiyon ke aas paas - 2
Door se dil ki bujhti rahe pyaas
Ankhiyon ko rehne de ankhiyon ke aas paas
Door se dil ki bujhti rahe pyaas
Ankhiyon ko rehne de
Aah, aah
Dard zamaane mein kam nahin milte - 2
Sab ko mohabbat ke gham nahin milte
Tootne waale dil
Tootne waale dil hote hain kuch khaas
Door se dil ki bujhti rahe pyaas
Ankhiyon ko rehne de
Reh gayi duniya mein naam ki khushiyaan - 2
Tere mere kis kaam ki khushiyaan
Saari umar humko
Saari umar humko rehna hai yun udaas
Door se dil ki bujhti rahe pyaas
Ankhiyon ko rehne de ankhiyon ke aas paas
Door se dil ki bujhti rahe pyaas
Ankhiyon ko rehne de
Aah, aah, aah aah aah, aah aah aah
    

YouTube Video
Beshaq mandir masjid toote, bulleshaa ye kahata
Beshaq mandir masjid todo, bulleshaa ye kahata
Par pyaar bharaa dil kabhi na todo...
Is dil mein dilavar rahata
Jis palade mein tule mohabbat...-2
Us mein chaandi naheen tolanaa
Taubaa meri naa dholana main naheen bolanaa
Aag te ishq baraabar dono, par paani aag bujhaaye-2
Aashiq ke jab aansu nikalen, aur agan lag jaaye
Tere saamane baithake rona...
O tere saamane baithake rona dil ka dukhadaa naheen pholana
Taubaa meri naa dholana main naheen bolanaa
    
Baahar se koi andar na aa sake
Andar se koi baahar na jaa sake
Socho kabhi aisa ho to kya ho
Socho kabhi aisa ho to kya ho
Hum tum ek kamre mein band ho
Aur chaabi kho jaaye
Hum tum ek kamre mein band ho
Aur chaabi kho jaaye
Tere nainon ki bhoolbhulaiya
Mein bobby kho jaaye
Hum tum ek kamre mein band ho
Aur chaabi kho jaaye


Aage ho ghanghor andhera
Baba mujhe darr lagta hai
Peechhe koi daaku lootera
Hm kyoon darra rahe ho
Aage ho ghanghor andhera
Peechhe koi daaku lootera
Upar bhi jaana ho mushkil
Neeche bhi aana ho mushkil
Socho kabhi aisa ho to kya ho
Socho kabhi aisa ho to kya ho
Hum tum kahin ko jaa rahe ho
Aur rasta bhool jaaye
O ho


Hum tum kabhi ko jaa rahe ho
Aur rasta bhool jaaye
Teri baiyaan ke jhoole mein
Saiyaan bobby jhool jaaye
Hum tum ek kamre mein band ho
Aur chaabi kho jaaye


Basti se door parbat ke
Peechhe masti mein choor
Ghane pedon ke neeche
Andekhi anjaani si jaga ho
Bas ek hum ho duji hawa ho
Socho kabhi aisa ho to kya ho
Socho kabhi aisa ho to kya ho


Hum tum ek jungle se
Guzre aur sher aa jaaye
Hum tum ek jungle se
Guzre aur sher aa jaaye
Sher se main kahoon tumko
Chhod de mujhe khaa jaaye
Hum tum ek kamre mein band ho
Aur chaabi kho jaaye
Aise kyoon khoye khoye ho
Jaage ho ke soye hue ho


Kya hoga kal kisko khabar hai
Thoda sa mere dil mein yeh darr hai
Socho kabhi aisa ho to kya ho
Socho kabhi aisa ho to kya ho
Hum tum yunhi hans khel rahe ho
Aur aankh bhar aaye
Hum tum yunhi hans khel rahe ho
Aur aankh bhar aaye
Tere sar ki kasam tere
Gham se bobby mar jaaye
Hum tum ek kamre mein band ho
Aur chaabi kho jaaye
Tere nainon ki bhoolbhulaiya
Mein bobby kho jaaye
Hum tum hum tum
Ek kamre mein band ho
Ek kamre mein band ho


Aur chaabi kho jaaye
Aur chaabi kho jaaye
Aur chaabi kho jaaye
Aur chaabi kho jaaye
Kho jaaye.
Smule LISA ULLY
Smule  GOOD LUCK
    

Jooth bole kawa kaata
    
Main shaayar to naheen
Main shaayar to naheen
magar aye haseen

Jab se dekhaa
maine tujhko, mujh ko

Shaayarii, aa gayee

Main shaayar to naheen magar aye haseen
Jab se dekhaa, maine tujhko, mujh ko
Shaayarii, aa gayee

Main aashiq to naheen magar aye haseen
Jabase dekhaa, mai.nne tujhako, mujhako
aashiqui aa gayee

Pyaar kaa naam mainne sunaa thaa magar
Pyaar kyaa hai ye mujhako naheen thi khabar
Pyaar kaa naam mainne sunaa thaa magar
Pyaar kyaa hai ye mujhako naheen thi khabar
Main to ulajhaa rahaa ulajhanon ki tarah
Doston mein rahaa dushmanon ki tarah
Main dushman to naheen
Main dushman to naheen magar aye haseen
Jab se dekhaa, maine tujhako, mujhako
Dosti aa gayee
Main shaayar to naheen

Sochataa hoon agar main duaa maangta
Haath apane uthaakar main kyaa maangata
Sochataa hoon agar main duaa maangta
Haath apane uthaakar main kyaa maangata
Jab se tujhase muhabbat main karane laga
Tab se aise ibaadat main karane lagaa
Main qaafir to naheen
Main qaafir to naheen magar aye haseen
Jab se dekhaa, maine tujhako, mujhako
Bandagi aa gayee

Main shaayar to naheen magar aye haseen
Jab se dekhaa, maine tujhko, mujh ko
Shaayarii, aa gayee
Main shaayar to naheen

    
YouTube Video
Na chaahoon sona chaandi na chaahoon heera moti
Yeh mere kis kaam ke
Na maangoon bangla baadi, na maangoon ghoda gaadi
Yeh to hain bas naam ke
Deti hai dil de badle mein dil ke - 2
(Ghe ghe ghe ghe ghe, ghe re saahiba
Pyaar mein sauda nahin) - 2
Na chaahoon sona chaandi, na chaahoon heera moti
Yeh mere kis kaam ke
Na maangoon bangla baadi, na maangoon ghoda gaadi
Yeh to hain bas naam ke
Deta hai dil de badle mein dil ke - 2
(Ghe ghe ghe ghe ghe, ghe re saahiba
Pyaar mein sauda nahin) - 2
Na jaanoon mulla kaji, na jaanoon Kaaba Kashi
Main to hoon prem piyaasa re
Mere sapnon ki rani, hogi tumko hairaani
Main to tera deewaana re
Deti hai dil de badle mein dil ke - 2
(Ghe ghe ghe ghe ghe, ghe re saahiba
Pyaar mein sauda nahin) - 2
Pyaar mein sauda nahin
    

Body Guard

Teri meri meri teri
    
Bol
Hona tha pyaar
    
Bombay

Kehna hai kya
    
Dishant
Tu he re, tu he re tere bina main kaise jiyu 
Aajaa re, aajaa re, yu he tadpa na tu mujhko 
Jaan re, jaan re, in saanso mein bas jaa tu 
Chaand re, chaand re, aajaa dil ki zameen pe tu 
Chahat hai agar aake mujhase mil jaa tu 
Yaa phir aaisa kar, dharti se mila de mujhko 
Tu he re, tu he re tere bina main kaise jiyu 
Aajaa re, aajaa re, yu he tadpa na tu mujhko 
In saanso ka dekho tum paagalpan ke 
Aaye nahi inhe chain 
Mujhase ye boli main raahon mein teri 
Apne bichhaa du ye nain 
In uunche pahaadon se jaan de dunga main 
Gar tum naa aai kahi 
Tum udhar jaan ummeed meri jo todo
Idhar ye jahaan chhodu main 
Maut aur, zindagi, tere haathon mein de diya re 
Aayi re, aayi re, le main aayi hu tere liye 
Toda re, toda re, har bandhan ko pyar ke liye 
Jaan re, jaan re, aajaa tujhamein sama jaau main 
Dil re dil re, teri saanson mein bas jaau main 
Chaahat hai agar aake mujhase mil jaa tu 
Yaa phir aisaa kar, dharati se milaa de mujhko 
Tu he re, tu he re tere bina main kaise jiyu 
Aajaa re, aajaa re, yu he tadpa na tu mujhko 
Aa 
Sau baar bulaaye main sau baar aaun, 
Ik baar jo dil diya 
Ik aankh roye to duji bolo, 
Soyegi kaise bhala, 
In pyaar ki raahon mein patthar hain kitane 
Un sab ko he paar kiya 
Ik nadi hu main chaahat bhari aaj milne 
Saagar ko aayi yahaan 
Sajnaa, sajnaa, aaj aansu bhi meethe lage 
Tu he re, tu he re tere bina main kaise jiyu 
Aajaa re, aajaa re, yu he tadpa na tu mujhko 
Jaan re, jaan re, in saanso mein bas jaa tu 
Chaand re, chaand re, aajaa dil ki zameen pe tu 
Pal pal pal pal waqt to bitaa jaaye re 
Zaraa bol zaraa bol waqt se ke vo tham jaaye re 
Aayi re, aayi re, le main aayi hu tere liye 
Jaan re, jaan re, aajaa tujhamein samaa jaau ma
    

Bombay To Goa
Dekha na haay re socha na haay re rakh di nishaane pe jaan 
Kadmon mein tere nikle mera dil hai bas yahi armaan 
Mit jayenge mar jayenge, kaam koi kar jayenge 
Marke bhi chain na mile, to jayenge yaaron kahaan 
Dekha na haay re 
Qaatil hai kaun, kaha nahin jaye 
Chup bhi to raha nahin jaye 
Bulbul hai kaun, kaun sayyaad 
Kuchh to kaho meri jaan 
Dekha na haay re 
Ghar se chale khaake qasam 
Chhodenge peechha na ham 
Sar pe qafan baandhe hue, aaya deewaana yahaan 
Dekha na haay re

    

Ye mahki mehki thandi hawaa
    

Bombay Vikings
Wo chali wo chali
    
Boom
Dishant
Neemia tu phuj paake rak leh, 
Pelhe vich mukra lukake rakh leh 
Neemia tu phuj pake rak leh, 
Pelhe vich mukra lukake rakh leh 
Emmi kari na kisa de nal pyar mundian to bach ke rahin 
Ni tu hune hune hoi mutare, mundian to bach ke rahin, 
Ni tu hune hune hoi mutare, mundian to bach ke rahin, 
Tera ki kasoor jeh nasheela nahin hogeya, 
Sikkeh urdama sharmilla nahin hogeya 
Tera ki kasoor jeh nasheela nahin hogeya, 
Sikkeh urdama sharmilla nahin hogeya 
Sambh ke rakh ni eh jorbean patari 
Sambh ke rakh ni eh jorbean patari 
Mur mur ka ni layorney hai baar, 
Mundian to bach ke rahin 
Ni tu hune hune hoi mutare, mundian to bach ke rahin, 
Ni tu hune hune hoi mutare, mundian to bach ke rahin, 
Chardi jawani tere roop daatha maar da, 
Pathla ja lake na hulare vi sahara da 
Chardi jawani tere roop daatha maar da, 
Pathla ja lake na hulare vi sahara da 
Gora gora rang, uttho mirgaye di toor 
Gora gora rang, uttho mirgaye di toor, 
Naye teri jay soni koi naar 
Mundian to bach ke rahin 
Ni tu hune hune hoi mutare, mundian to bach ke rahin, 
Ni tu hune hune hoi mutare, mundian to bach ke rahin, 
Mundian da bullhan uthhe theriyaan kahaniyaan, 
Chunni deh khanna di gale diyan nashyania 
Chaurbra da bula uthhe theriyaan kahaniyaan, 
Chunni deh khanna di gale diyan nashyania 
Janjua da hoi tere roop tha deewana, 
Janjua da hoi tere roop tha deewana 
Chal sakhe na husna dah vaar 
Mundian to bach ke rahin 
Ni tu hune hune hoi mutare, mundian to bach ke rahin, 
Ni tu hune hune hoi mutare, mundian to bach ke rahin
    
Boond Jo Ban Gayee Moti
Haan maine bhi pyar kiya 
Pyar se kab inkar kiya 
Bheegi bheegi raatein meethi meethi baatein 
Aur maine dil ko nisar kiya 
Haan maine bhi pyar kiya 
Pyar kiya kaliyon ke mehakte angon se 
Pyar kiya maine gul ke gulabi gaalon se 
Pyar kiya nargis ki nashili aankhon se 
Pyar kiya badli ki rangeeli zulfon se 
Khuli chandni mein maine abhisar kiya 
Haan maine bhi pyar kiya 
Tham liya seene pe uchhalti leheron ko 
Jhoom utha baahon mein pakad toofano ko 
Choom liya bijali ke machalte hothon ko 
Loot liya maine mast ubharti baharon ko 
Raat ki dulhan ka maine singaar kiya 
Haan maine bhi pyar kiya
    

Haree haree vasundharaa pe neelaa neelaa ye gagan 
Ke jis pe baadalon kee paalakee udaa rahaa pawan 
Dishaayen dekho rang bharee, chamak raheen umang bharee 
Ye kis ne fool fool pe kiyaa singaar hai 
Ye kaun chitrakaar hai, ye kaun chitrakaar 
Ye kaun chitrakaar hai 
Tapasweeyon see hain atal ye parawaton kee choteeyaan 
Ye sarpa see ghoomerdaar, gherdaar ghaateeyaan 
Dhwajaa se ye khade huye hain wariaksh dewdaar ke 
Galiche ye gulaab ke, bagiche ye bahaar ke 
Ye kis kawee kee kalpanaa kaa chamatkaar hai 
Ye kaun chitrakaar hai 
Kudarat kee is pawitrataa ko tum nihaar lo 
Is ke gunon ko apane man mein tum utaar lo 
Chamakaalo aaj laalimaa, apane lalaat kee 
Kan kan se jhaankatee tumhe, chhabee wiraat kee 
Apanee to aankh yek hai, us kee hazaar hain 
Ye kaun chitrakaar hai
    

Boot Polish
Lapak japak tu aa re badarva 
Sar ki kheti sookh rahi hain 
Baras baras tu aa re badarva 
Jhagad jhagad kar paani la tu 
Akad akad bijli chamka tu 
Tere ghade mein paani nahi to 
Panghat se bhar la 
Re badarava 
Ban mein koyal kook uthi hai 
Sab ke man mein hook uthi hai 
Bhoodal se tu baal uga de 
Jhat pat tu baras 
Re badarava
    

Tumhaare hain tumse daya maangate hain 
Tumhaare hain tumase daya maangate hain 
Tere laadalon ki dua maangate hain 
Tere laadalon ki dua maangate hain 
Yateemon ki duniya mein haradam andhera 
Yateemon ki duniya mein haradam andhera 
Idhaar bhool kar bhi na aaya savera 
Idhaar bhool kar bhi na aaya savera 
Isi shaam ko ek pal bhar jale jo 
Isi shaam ko ek pal bhar jale jo 
Ham aasha ka aisa diya maangate hain 
Aa: the ham jinaki aankhon ke chanchal sitaaren 
The ham jinaki aankhon ke chanchal sitaaren 
Aa: hamein chhod vo is jahaan se sidhaare 
Hamein chhod vo is jahaan se sidhaare 
Aa: kisiiki na ho jaisi qisamat hai apani 
Kisiiki na ho jaisi qisamat hai apani 
Aa: dukhi dil sabhi ka bhala maangate hain 
Bacha ho jo roti ka tukada dila do 
Bacha ho jo roti ka tukada dila do 
(jo utara ho tan se vo kapada dilaado) - 2
    
Border

Ae jaate hue lamhon zara thehro, zara thehro - 2
Main bhi to chalta hoon, zara unse milta hoon
Jo ek baat dil mein hai, unse kahoon
(To chalun, to chalun, hm hm hm hm hm
To chalun, to chalun, to chalun) - 2
Ae jaate hue lamhon zara thehro, zara thehro
(Unke chehre ki yeh narmiyaan
Unki zulfon ki yeh badliyaan
Unki aankhon ke roshan diye
Unke honton ki yeh surkhiyaan) - 2
Sab unke hain jalwe, main chalne se pehle
Saanson mein, aankhon mein, khwaabon mein, yaadon mein
Aur is dil mein unko chhupaake rakhoon
To chalun, to chalun, hm hm hm hm hm
To chalun, to chalun, to chalun
Ae jaate hue lamhon zara thehro, zara thehro
(Main kahin bhi rahoon ae sanam
Mujhko hai zindagi ki kasam
Faasle aate jaate rahe
Pyaar lekin nahin hoga kam) - 2
Jinhe chaahoon, jinhe poojoon, unhe dekhoon, unhe chhoo loon
Zara baatein to kar loon, zara baahon mein bhar loon
Main is chaand se maathe ko choom loon
To chalun, to chalun, hm hm hm hm hm
To chalun, to chalun, to chalun
Ae jaate hue lamhon zara thehro, zara thehro
Main bhi to chalta hoon, zara unse milta hoon
Jo ek baat dil mein hai, unse kahoon
To chalun, to chalun, hm hm hm hm hm
To chalun, to chalun, to chalun
    
Jang to chand roz hoti hai-2
Zindagi barson talak roti hai
Sannate ki gehri chhanv
Khaamoshi se jalte gaanv
Ye nadiyon par toote huey pul
Dharti ghaayal aur vyaakul
Ye khet gamon se jhulse huey
Ye khaali raste sehme huey
Ye maatam karta saara samaa
Ye jalte ghar ye kaala dhuaan
Ye jalte ghar ye kaala dhuaan
Hoho..
Hmmm..
Mere dushman mere bhai mere humsaaye
Mere dushman mere bhai mere humsaaye
Mujhse tujhse hum donon se ye jalte ghar kuchh kehte hain
Barbaadi ke saare manzar kuchh kehte hain
Hay..
Mere dushman mere bhai mere humsaaye
Hoho...
Hmmm..
Baarood se bojhal saari fiza
Hai maut ki dhoop hai laati hava
Zakhmon pe hai chhaayi laachaari
Dariyon mein hai khilti beemaari
Ye marte bachche haathon mein
Ye maaon ka rone raaton mein
Murda basti murda hai nagar
Chehre patthar hain dil patthar
Chehre patthar hain dil patthar
Hoho..
Hmm..
Mere dushman mere bhai mere humsaaye
Mere dushman mere bhai mere humsaaye
Mujhse tujhse hum donon se sun ye patthar kuchh kehte hain
Barbaadi ke saare manzar kuchh kehte hain
Hay..
Mere dushman mere bhai mere humsaaye
Hoho...
Hmmm..
Mere dushman mere bhai mere humsaaye
Chehron ke dilon ke ye patthar ye jalte ghar
Barbaadi ke saare manzar sab mere nagar sab tere nagar
Ye kehte hain
Is sarhad par pulkaarega kab tak nafrat ka ye ajgar
Kab tak nafrat ka ye ajgar
Is sarhad par pulkaarega kab tak nafrat ka ye ajgar
Hum apne apne kheton mein gehoon ki jagah chaawal ki jagah
Ye bandookein kyon bote hain
Jab donon hi ki galiyon mein kuchh bhookke bachche rote hain
Kuchh bhookhe bachche rote hain
Aa khaayein kasam
Ab jung nahin hone paaye
Aa khaayein kasam
Ab jung nahin hone paaye
Aur us din ka rasta dekhein
Jab khil uththay tera bhi chaman
Jab khil uththay mera bhi chaman
Tera bhi watan mera bhi watan
Mera bhi watan tera bhi watan
Tera bhi watan mere bhi watan
Hoho..
Mere dost mere bhai mere humsaaye
Mere dost mere bhai mere humsaaye
Hoho..
Hmmm..
Aaa...

    

[Sandese aate hain 
Humein tadpaate hain 
To chitthi aati hai 
Wo poochhe jaati hai 
Ke ghar kab aaoge 
Ke ghar kab aaoge 
Likho kab aaoge 
Ki tum bin ye ghar soona soona hai]-2 
Kisi dilwaali ne kisi matwaali ne 
Humein khat likkha hai 
Ki humse poochha hai 
Kisi ki saason ne kisi ki dhadkan ne 
Kisi ki choodi ne kisi ke kangan ne
Kisi ke kajre ne kisi ke gajre ne 
Mahekti subahon ne machalti shaamon ne 
Akeli raaton ne adhoori baaton ne 
Tarasti baahon ne 
Aur pooccha hai tarsi nighahon ne 
Ke ghar kab aaoge....... 
Mohabbat walon ne hamare yaaron ne
Humein ye likkha hai ke humse poochha hai 
Hamare gaaon ne aam ki chaaon ne 
Puraane peepal ne baraste baadal ne 
Khet khaliayaanon ne hare maidaanon ne 
Basanti belon ne jhoomti belon ne 
Lachakte jhoolon ne behekte phoolon ne 
Chatakti kaliyon ne 
Aur poochha hain gaaon ki galiyon ne 
Ke ghar kab aaoge...... 
Ohh ohhhh ohhh 
Kabhi ek mamta ki Pyaar ki ganga ki
Vo chitthi aati hai Saath vo laati hai 
Mere din bachpan ke Khel vo aangan ke 
Vo saaya aanchal ka Vo teeka kaajal ka 
Vo lori raaton mein vo narmi haathon mein 
Vo chaahat aankhon mein vo chinta baaton mein 
Bigadna oopar se mohabbat andar se 
Kare vo devi maa 
Yahi har khat mein poochhe meri maa 
Ke ghar kab aaoge...... 
Ohohho 
Ay guzarne waali hava bata
Mera itna kaam karegi kya 
Mere gaanv ja mere doston ko salaam de 
Mere gaanv mein hai jo vo gali 
Jahaan rehti hai meri dilruba 
Use mere pyaar ka jaam de-2 
Vahin thodi door hai ghar mera 
Mere ghar mein hai meri boodhi maa 
Meri maa ke pairon ko chhooke tu 
Use uske beta ka naam de 
Ay guzarne waali hava zara
Mere doston meri dilruba 
Meri maa ko mera paiyam de 
Unhe jaake tu ye paiyyam de 
Main vaapas aaoonga 
Main vaapas aaoonga 
Phir apne gaaon mein 
Usiki chaaon mein 
Ki maa ke aanchal se 
Gaanv ke peepal se 
Kisike kaajal se 
Kiya jo vaada tha vo nibhaoonga 
Main ek din aaoonga 
Main ek din aaoonga 
Main ek din aaoonga 
Main ek din aaoonga 
Main ek din aaoonga 
Main ek din aaoonga 
Main ek din aaoonga 
Main ek din aaoonga
    
Boss
Har kissee ko nahin milta
    
Boy Friend

Dhiire chal -2 ai bhiigii havaa
Ke mere bulabul kii hai niind javaan
Ke kahiin laage naa kisii kii use badanazar
Ke miithe sapanon men kho ga_ii hai bekabar
Dhiire chal ai bhiigii
Cheharaa kahiin hai zulfen kahiin hain
Hosh kahaan hai bhalaa is bahaar men -2
Kaliyon se kah de aaj na chataken
Champaakalii hai so_ii intazaar men -2
Are ho kitanii dilakashii chhaa_ii hai bekudii haay merii bebasii
Dhiire chal ai bhiigii
Pyaar kaa bhanvaraa kahataa hai tujhe
Aisii fizaa men raaganii na gaa -2
Niind ke saagar tuut na jaa_en
Merii qasam tujhe shor na machaa -2
Are ho baadal bade pahare hain khade dil bhii kyaa kare
Dhiire chal ai bhiigii
Maujen rukii hain shaakhen jhukii hain
Kaise sunaa_e ko_ii dil ke raaz ko -2
Are ho ashq chuum luungaa bin pi_e dil use nazar duungaa
Dhiire chal ai bhiigii
    
Brahmchaari
Aaj kal tere mere pyaar ke charche har zubaan par 
Sab ko maloom hai aur sabko khabar ho gayi 
Humne to pyar mein aisa kaam kar liya 
Pyar ki raah mein apna naam kar liya 
Aajkal tere mere 
Do badan ek dil ek jaan ho gaye 
Manzilen ek hui humsafar ban gaye 
Aajkal tere mere 
Kyon bhala hum daren dil ke malik hain hum 
Har janam mein tujhe apna mana sanam 
Aajkal tere mere pyar ke charche har zubaan par
Sab ko maloom hai aur sabko khabar ho gayi
    
 
Chakke mein chakka chakke pe gaadi 
Gaadi mein nikli apni savaari 
Thode agaadi thode pichaadi-2 
Chakke mein chakka chakke pe gaadi 
Gaadi mein nikli apni savaari 
Thode agaadi thode pichaadi-2 
[chunu chhabile munnu hathile 
Makhmal ki topi chhotu rangile]-2 
Lallu batata lalli tamata 
Gamma banenge gattu gathile 
Pet mein inke lambi si dadhi 
Chakke mein chakka chakke pe gaadi 
Gaadi mein nikli apni savaari 
Thode agaadi thode pichaadi-2 
[umar mein kacche yeh chhotte bacche 
Hain bhole bhaale hain seedhe sachhey]-2 
Thanenge jo bhi karke rahenge 
Yeh apni dhun ke hain poore pakke 
Koi na samjhe inko anadi 
Chakke mein chakka chakke pe gaadi 
Gaadi mein nikli apni savaari 
Thode agaadi thode pichaadi-2 
[lamba safar hai tedi dagar hai 
Manzil hain mushkil girne ka dar hai]-2 
Par na rukenge chalte chalenge 
Yeh sari duniya ab apna ghar hai 
Haar na manenge yeh khiladi 
Chakke mein chakka chakke pe gaadi 
Gaadi mein nikli apni savaari 
Thode agaadi thode pichaadi-2 
Chakke mein chakka chakke pe gaadi 
Gaadi mein nikli apni savaari 
Thode agaadi thode pichaadi-2
    

Brahmchaari
Dil ke jharoke mein tujko bithakar
Yadoon ko teri maein dulhan banakar
Rakhoonga main dil ke paas
Mat ho meri jaan udaas,
Dil ke jharoke...

Kal tere jalwe paraye bhi honge
Lekin jhalak mere khwabon mein hogi
Phoolon ki doli mein hogi tu ruksat
Lekin mehak meri saanson mein hogi,
Dil ke jharoke...

Ab bhi tere surkh hothon ke pyale
Mere tassavur mein saki baney hain
Ab bhi teri zulf ke mast saaye
Birha ki dhoop mein sathi baney hain,
Dil ke jharoke...

Meri mohabbat ko thukra de chahe
Main Koyee tujhse na shikva karoonga
Aankhon mein rehti hai tasveer teri
Sari umar teri pooja karoonga,
Dil ke jharoke...

    
Brahmchaari
YouTube Video
Koyee pyaar hamein bhi karta hai
Hum par bhi koyee marta hai
Humein tum kya samajhte ho-2
Mohabat ke khuda hum hain
Khuda hum hain
Khuda khuda khuda khuda khuda
Koyee pyaar hamein bhi karta hai
Hum par bhi koyee marta hai
Humein tum kya samajhte ho-2
Mohabat ke khuda hum hain
Khuda hum hain
Khuda khuda khuda hum hain
Koyee pyaar hamein bhi karta hai
Hum par bhi koyee marta hai
Phoolon ki taazgi tu hai 
Kaliyon ki naazki tu hai
Ab teri zindagi main hun 
Aur meri zindagi tu hai
Mohabat ke khuda hum hain
khuda hum hain
khuda khuda hum hain
Koyee pyaar hamein bhi karta hain
Humpar bhi koyee marta hain
Ankhon se pyaar chhalkaake
Dekha jo tune sharmaake
Pehlu mein tere aa baithe
Hum to jahaan thukraake
Mohabat ke khuda hum hain
khuda hum hai khuda hum hain
khuda khuda hum hain
Koyee pyaar hamein bhi karta hain
Humpar bhi koyee marta hain
Hothon ke jaam apne hain
Ye subah ye shaam apne hain
Kya phool aur kya taare
Ye saare ghulaam apne hain
Mohabat ke khuda hum hain
khuda hum hai khuda hum hain
khuda khuda hum hain
Koyee pyaar hamein bhi karta hain
Hum par bhi koyee marta hain
Humein tum kya samajhte ho
Mohabat ke khuda hum hain
khuda hum hai khuda hum hain
khuda khuda hum hain
    

Brahmchaari
 
[Main gaaun tum so jaao
Main gaaun tum so jaao, sukh sapno mein kho jaao]-2
Main gaaun tum so jaao-2
Maana aaj ki raat hai lambi, maana din tha bhaari-2
Par jag badla badlegi ek din taqdeer hamaari
Us din ke khwaab sajaao
Main gaaun tum so jaao, sukh sapno mein kho jaao
Main gaaun tum so jaao-2
Kal tum jab aankhein khologe jab hoga ujiyara-2
Khushiyon ka sandesha lekar aayega samay har taara
Mat aas ke deep bujhaao, 
Main gaaun tum so jaao, sukh sapno mein kho jaao
Main gaaun tum so jaao-2
Ji karta hai jeete jee main yun hi gaata jaaun-2
Gardish mein thake haaron ka maatha sehlaata jaaun
Phir ik din tum dauhraao, 
Main gaaun tum so jaao, sukh sapno mein kho jaao
Main gaaun tum so jaao-2
    

Brahmchaari
Tu bemisaal hai teri taarif kya karun
Mastaana chaal hai teri taarif kya karun
Ankhon se pi raha hun mujhe hosh hi nahin 
Tu bemisaal hai teri taarif kya karun

Aankhon mein nasheela kaajal hai
Chehre pe haya ki laali hai
Phoolon ki mehak hai baalon mein-2
Har ek ada matwaali hai
Tu bemisaal hai teri taarif kya karun
Mastaana chaal hai teri taarif kya karun
Ankhon se pi raha hun mujhe hosh hi nahin 
Tu bemisaal hai teri taarif kya karun

Zulfon ko agar dekhe saavan 
Saavan ko paseena aa jaaye
Gaalon ko agar dekhe bijli-2
Baadal mein sharam se chhup jaaye
Tu bemisaal hai teri taarif kya karun
Mastaana chaal hai teri taarif kya karun
Ankhon se pi raha hun mujhe hosh hi nahin 
Tu bemisaal hai teri taarif kya karun

Tu shokh havaa hai gulshan ki
Daaman se lipatne aayee hai
Imaan jo le le duniya ka-2
Kaatil wo teri angdhaayee hai
Tu bemisaal hai teri taarif kya karun
Mastaana chaal hai teri taarif kya karun
Ankhon se pi raha hun mujhe hosh nahin 
Tu bemisaal hai teri taarif kya karun

 
    
Bride And Prejudice

Karaoke
YouTube Video
Tumse kahen hum ya na kahen 
    
Buddha Mil Gaya
Dishant
Bhalee bhalee see yek soorat bhalaa saa yek naam 
Dhadakan hain mere dil kee, subah ho yaa shaam 
Kaun hain wo dilarubaa, kaho naa hum se jaraa 
Tum ho wo dilarubaa 
Huyee mere bhee jiyaa kee choree 
Haa us chor kee shakal hain goree 
Ho gayaa milanaa bahot jaruree 
Fir suno to aage humaaree, dil kee majabooree 
Wo jo mere kareeb aayaa, mere tan pe padaa jo saayaa 
Yoo samazo naa gale lagaayaa 
Tab se sotee hoo jaagatee hoo, leke us kaa naam 
Kaun hain wo dilarubaa, kaho naa hum se jaraa 
Tum ho wo dilarubaa 
Haay mushkil hain meraa bhee jeenaa
Sochoo to aataa hain paseenaa 
Kal maine dekhee ajab haseenaa 
Pyaar mein usake dhadake meraa dil jalataa hain seenaa 
Paas wo aayee badee adaa se 
Bolee kyo ho khafaa khafaa se 
Hum bhee the yek najar ke pyaase 
Dil pe usane jo haath rakhaa, aa gayaa aaraam 
Kaun hain wo dilarubaa, kaho naa hum se jaraa 
Tum ho wo dilarubaa
    
Raat kali ek khwaab me aayee 
Aur gale ka haar huyee
Subaha ko jaab hum nind se jaage 
Aankh tumhee se chaar huyee
Raat kali ek khwaab me aayee 
Aur gale ka haar huyee

Chhahe kaho ise meri muhaabat 
Chhahe hasee me uda do
Yeh kya hua mujhe mujko khabar nahi
Ho saake tumhee bataa do
Tumne kadam to rakha jammee par
Sine me kyon jhankar huyee
Raat kali ek khwaab me aayee 
Aur gale ka haar huyee

Aankho me kaajal aur laton me 
Kalee ghata ka baserra
Sanvlee surat mohani murat saavan rut ka savera
Jaab se yeh mukhaada dil me khila hai
Duniya meri gulzaar huyee
Raat kali ek khwaab me aayee 
Aur gale ka haar huyee

Yun to haseeno ke mahazaabhiho ke 
Hote hain roz najaare
Par unhe dekhke dekha hai 
Jab tumhe tum lage aur bhi payaara
Bahon me le lu aise tamana 
Ek nahi sau baar huyee
Raat kali ek khwaab me aayee 
Aur gale ka haar huyee

    
Budnaam
YouTube Video
Hum bhi musaafir
    
Budtameez
YouTube Video
Badatameez kaho ya kaho jaanavar mera dil tere dil pe fida ho gaya
Bachaao koi sambhaalo koi o meri jaan-e-jaan main tabaah ho gaya
Ho lala ho lala - 2
Badatameez kaho ya kaho jaanavar mera dil tere dil pe fida ho gaya
Kitne meethe hain lab tere jaan-e-gazal tu bura bhi kahe to lage hai bhala
Inhi andaaz ne maar daala hamein na tumhari khata na hamaari khata
Ho lala ho lala - 2
Badatameez kaho ya kaho jaanavar mera dil tere dil pe fida ho gaya
Meri ulfat se nafarat na kar sangdil dekh inki badaulat ye duniya bani
Ishq ki aag mein jal ke hasti mita phir khabar ho tumhen kya hai dillagi
Ho lala ho lala - 2
Badatameez kaho ya kaho jaanavar mera dil tere dil pe fida ho gaya
Pyaar karna koi jurm kab hai sanam pyaar mera khuda pyaar mera dharam
Pyaar maine kiya kya gunaah kar diya tum socho zara tumko meri kasam
Ho lala ho lala - 2
Badatameez kaho ya kaho jaanavar mera dil tere dil pe fida ho gaya
    
Dil ko na mere tadhpaayo
Pyar ko mat thukraayo
Ab to hamare ho jaayo ho ho
Dil ko na mere tadhpaayo...

Yun na rahega hardum
husn hai aakhir faani
bandh ke kahan rehta hai
dariya ka behta paani
Chand se mat takraayo
dharti pe waapas aayo
Ab to hamare ho jaayo ho ho ho
Dil ko na mere tadhpaayo...

Chhodo Chalan nafrat ka
rasm-e-mohabbat seekho
dil ko dhadhak lene do
Pyar ki aadat seekho
Dil jo kisi ka churaayo
dard ko bhi apnaayo
Ab to hamare ho jaayo 
Dil ko na mere tadhpaayo

Pyar ki daulat le kar
laut jo hum jaayenge
laakh bulaayo phir tum
mudh ke nahi aayenge
Phir woh jhalak dikhlaayo
aankhon se dil mein samaayo
ab to hamare ho jaayo ho ho

Dil ko na mere tadhpaayo
Pyar ko mat thukraayo
Ab to hamare ho jaayo hoye hoye hoye
Dil ko na mere tadhpayao
hmm hmm hmm hmmm
hoo ye hoooye hooyee
laa lala la ala lalala aaa
hmm hmm hmm


    
YouTube Video
Haseen ho tum khuda nahi ho
Tumhara sajda nahi karenge
Agar mohabbat mein huqm doge
To hansate-hansate ye jaan bhi denge
Samajhte ho khud ko jaane kya tum
Ki saari duniya ko khaakh jaana
Guruur ka sar jhukega ek din
Hansega tum par ye zamaana
Hamesha ye din nahi rahenge
Haseen ho tum ...
Hamaari nazaron ka shuqr keejiye
Ki aasmaan par tumhein bithaaya
Hamaare dil ko duaaye deejiye
Ki dhadkanon mein tumhein basaaya
Bulandiyon se giroge tum bhi
Agar nigaahon se ham girenge
Haseen ho tum ...
Hamaare jaise agar hain laakhon
Tumhaare jaise bhi kam nahi hain
Jo patthar se phod len sar
Vo aur honge vo ham nahi hain
Nahi mohabbat mein mar sake jo
Bhala vo jeekar hi kya karenge
Haseen ho tum ...
    

Bulandi
Humne tum ko chun liya hai
Karaoke
    
Buzdil
Rote rote guzar gayee 
Rote rote guzar gaee raat re 
Aayee yaad teri har baat re 
Rote rote guzar gaee raat re 
Neend bhi meri, na meri ho saki 
Ro ke shabnam bhi na ye gham dho saki 
Thi mein teri, par na teri ho saki 
Rote rote guzar gaee raat re 
Khwaab ki duniya ujad kar reh gayee 
Chhin li suraj ne ghar ki roshani 
Chaand se hoti hai door ab chaandani 
Rote rote guzar gaee raat re 
Pyaar ki ghadiyaan bahot yaad aayengi 
Yaad aa kar raat din tadapaayengi 
Tum ko ye tanhaaeeyaan das jayengi 
Rote rote guzar gaee raat re 
    


    
Songbook Zipped
Free download 2MB
Ownwith Free Karaoke
A
B
C
D
E
F
G
H
I
J
K
L
M
N
O
P
Q
R
S
T
U
V W X Y
Z
Masood Rana
English songs =>
A
B
C
D
E
F
G
H
I
J
K
L
M
N
O
P
Q
R
S
T
U
V W X Y
Z
<=English songs
Smule Song Search : Song Titles with Spelling variations listed together
Happy smuling .....
      An author of a dozen medical books and Janampatri software, prize winner in most extempore contests participated as student, DoctorKC (1944 born MBBS) solicits invitations to attend debates, declamation contests and such other literary/cultural activities in/around Delhi. No obligations either way.


Dr K Chaudhry
B-1/104 Paschim Vihar, New Delhi-110063 +91-9810570740 http://ukmall.net/doctorkc