|
Ham, chhupe
rustam hain,
Qayaamat ki
nazar rakhte hain
Zameen to kya
hai,
Asmaan ki
khabar rakhte hain
Ham, chhupe
rustam hain ...
Chhup na paaye
koyi tasveer, hamaare aage
Toot jaati hai
khud shamsheer hamaare aage
Chal na paaye
koyi tadbeer hamaare aage
Sar jhukaati
hai har taqdeer hamaare aage
Raah kaanto
mein bana lete hain,
Aasmaan sar pe
uthha lete hain
Ham agar taish
mein aaye to,
Aag paani mein
laga dete hain
Hamaare dam se
ye zamaana hai,
Sharaab-o-jaam
hai, maikhaana hai
Ham jaha sar ko
jhuka de yaaro,
Wahi kaaba,
wahi butkhaana hai
Ham insaan
hain, insaan ke liye,
Dar pe sar
rakhte hain
(Zameen to kya
hai,
Aasmaan ki
khabar rakhte hai)
Ham, chhupe
rustam hain ...
Tori nazariya
gauri jaise ras ki nadi laharaaye
Ek baar jo
doobe in mein pal-pal goti khaaye
Oh shama ...
pal-pal gota khaaye
Nazar ye teer
bhi, talwaar bhi hai,
Nazar inkaar
bhi, iqraar bhi hai
Nazar ye phool
bhi, khaar bhi hai,
Thal bhi, megh
bhi, malhaar bhi hai
Nazar dil ki
zubaan hoti hai,
Motiyo ka
makaan hoti hai
Pyaar ka
imtehaan hoti hai,
Zameen par
aasmaan hoti hai
Nazar uthh
jaaye to duwa ban jaaye,
Agar jhuk jaaye
to haya ban jaaye
Jo tirchhi ho
to adaa ban jaaye,
Pade seedhi to
qaza ban jaaye
Nazar koyi bhi
ho ham sab pe nazar rakhte hain
Zameen to kya
hai,
Aasmaan ki
khabar rakhte hain
Ham chhupe
rustam hain ...
Ham teri
talaash mein jaan-e-jahaan,
Jeene ka kya
dastoor bane
Kabhi kais,
kabhi farhaad,
Kabhi
khaiyyaam, kabhi mansoor bane
Kya-kya na bane
ham tere liye par,
Jo bhi bane,
bharpoor bane
Natkhat ham
natwar, tere liye
Dar-dar ghoome,
ban-ban bhatke,
Parbat pe gaye,
sooli pe chadhhe
Nit khaaye
muqaddar se jhatke,
Tere ghunghat
pat ki salwat mein
At-at ye more
naina atke,
Jhatpat de
hamein darsan,
Ham to pyaase
hain, teri kaali lat ke
Oh meri aarzoo
aa oh meri justjoo,
Aa zara tu
rubroo aa
Le hi jaayenge,
uthha ke bhari mehfil se tujhe
Chura le aankh
se kaajal woh hunar rakhte hain
Ham, chhupe
rustam hain ..
|