Songbook Zipped
Free download 2MB
Ownwith Free Karaoke
A
B
C
D
E
F
G
H
I
J
K
L
M
N
O
P
Q
R
S
T
U
V W X Y
Z
Masood Rana
English songs =>
A
B
C
D
E
F
G
H
I
J
K
L
M
N
O
P
Q
R
S
T
U
V W X Y
Z
<=English songs
Smule Song Search : Song Titles with Spelling variations listed together

Happy smuling .....
     

.....Contd


Youtube videos may not stay for long. In case you find a linked video missing, please message at facebook.com/doctorkc


Dilli Ka Thug
YouTube Video
Ham to mohabbat karegaa, duniyaa se nahin Daregaa,
Chaahe ye zamaanaa kahe hamko deevaanaa
Aji ham to mohabbat karega, duniyaa se nahin Daregaa,
Chaahe ye zamaanaa kahe hamko deevaanaa
Aji ham to mohabbat karega
Chupke se aap to, dil leke chale jaaten hai,
peechhe peechhe deevaane, phir bhi chale aaten hai
Jootaa paalish karegaa
Aahaa, jootaa paalish karegaa, lekin tum par maregaa
Chaahe ye zamaanaa kahe, hamko deevaanaa
Aji ham to mohabbat karegaa
Thokar se aur bhi, armaan ye javaan hote hai,
duniyaa mein ham jaise, aashiq bhi kahaaN hoten hai
Lailaa lailaa karegaa
Lailaa o lailaa
Lailaa lailaa karegaa, Thandi aahen bharegaa,
Chaahe ye zamaanaa kahe, hamko deevaanaa
Aji ham to mohabbat karegaa
Door ho ho ke aji, yuN na sataao hamko,
Ham jiyen kaise bhalaa, ye to bataao hamko
Doobegaa nahin taregaa,
Chhap-chhap-chhap-chhap chhachhap chhap
Doobegaa nahin taregaa, pyaar se ham nahin Daregaa,
Chaahe ye zamaanaa kahe, hamko deevaanaa
Aji ham to mohabbat karega, duniyaa se nahin Daregaa,
Chaahe ye zamaanaa kahe hamko deevaanaa
Aji ham to mohabbat karega
Ham to mohabbat karegaa
    


Yeh raaten yeh mausam
Nadi ka kinara yeh chanchal hawa
Yeh raaten yeh mausam
Nadi ka kinara yeh chanchal hawa
Kaha do dilon ne ki milkar
Kabhi hum na honge juda
Yeh raaten yeh mausam
Nadi ka kinara yeh chanchal hawa

Yeh kya baat hai aaj ki chandni mein
Yeh kya baat hai aaj ki chandni mein
Ke hum kho gaye pyar ki ragini mein
Yeh baahon mein baahen
Yeh behki nigahen
Lo aane laga zindagi ka maza
Yeh raaten yeh mausam
Nadi ka kinara yeh chanchal hawa

Sitaron ki mehfil ne karke ishara
Sitaron ki mehfil ne karke ishara
Kaha ab to saara jahan hai tumhara
Mohabbat jawan ho, khula aasman ho
Kare koyi dil aarzoo aur kya
Yeh raaten yeh mausam
Nadi ka kinara yeh chanchal hawa

Kasam hai tumhe tum agar mujhse roothe
Kasam hai tumhe tum agar mujhse roothe
Rahe saans jab tak, yeh bandhan na toote
Tumhein dil diya hai, yeh vaada kiya hai
Sanam main tumhaari rahoongi sada

Yeh raaten yeh mausam
Nadi ka kinara yeh chanchal hawa
Kaha do dilon ne ki milkar
Kabhi hum na honge juda
Yeh raaten yeh mausam
Nadi ka kinara yeh chanchal hawa

Smule ANJALI DEVI
Smule NEENA SHARMA
Smule INDU NAIR
    

Dilwaale

Jeeta tha jiske liye
    
Kitna haseen chehra
Kitna haseen chehra kitni pyari aankhen - 2 
Kitni pyari aankhen hai aankhon se chhalakta pyar 
Kudrat ne banaya hoga phursat se tujhe mere yaar - 2 
Kitna haseen chehra kitni pyari aankhen - 2 
Kitni pyari aankhen hai aankhon se chhalakta pyar 
Kudrat ne banaya hoga phursat se tujhe mere yaar - 2 
(teri nazar jhuke toh shaam dhalen 
Jo uthe nazar toh subaha chalen) - 2 
Tu hase toh kaliyan khil jaaye 
Tujhe dekh ke hoor bhi sharmaye 
Teri bikhri bikhri zulfen teri mehaki mehaki saansen 
Teri koyal jaisi boli teri meethi meethi baaten 
Jee chahe mera main yu hi tera karta rahu deedar 
Kudrat ne banaya hoga phursat se tujhe mere yaar - 2 
Kitna haseen chehra kitni pyari aankhen 
(duniya mein haseen aur bhi hain 
Hoga na koi tere jaisa haseen) -2 
Rangeen jawan madhosh badan 
Tu husno shabab ka hain gulshan 
Tere ang se khusbu barse pariyon si sundar kaya 
Jo kutch socha tha maine woh sab kutch tujhmein paya 
Teri ek adaa pe main sadke jaaun sau baar 
Kudrat ne banaya hoga phursat se tujhe mere yaar - 2 
Kitna haseen chehra kitni pyari aankhen 
Kitni pyari aankhen hai aankhon se chhalakta pyar 
Kudrat ne banaya hoga phursat se tujhe mere yaar - 2
    
Dilwaale Dulhaniya Le Jaayenge
Mehdi lagaa ke rakhna
    
Mere khwaabon mein jo aaye
    

YouTube Video
Ruk ja ae dil deewaane
Ruk jaa ai dil diivaane, puuchhuu.n to mai.n zaraa
La.dakii hai yaa hai jaaduu, khushabuu hai yaa nashaa
Paas vo aaye to, chhuuke mai.n dekhuu.n zaraa
Ruk jaa ...
Dekhe vo idhar, ha.nsake bekhabar
Thaam ke dil ham kha.de hai.n
Gum-sum sii nazar, usakii hai magar
Ho.ntho.n pe shiqave ba.de hai.n
Baat ban jaaye to, mai.n baat chhe.duu.n zaraa
Ruk jaa ...
Sharamaa vo gayii, ghabaraa vo gayii
Mai.n ne jo usako pukaaraa
Ye dil le liyaa, usane kar diyaa
Aa.nkho.n hii aa.nkho.n me.n ishaaraa
Jaan bhii jaaye to gam mai.n karuu.n na zaraa
Ruk jaa ...
Mahafil me.n hasii.n, tuu hii to nahii.n
Ruuthii tuu kis liye akelii
Jisape yuu.n fidaa, ye dil ho gayaa
Vo to hai terii ik sahelii
Maan vo jaaye to, baaho.n me.n le luu.n zaraa
Ruk jaa ...
    
Tujhe dekha to ye jaana sanam
    

Zara sa jhoom lun main
    
Dirty Picture

Tere waaste mera dil
    
Disco Dancer

I am a disco dancer
    
Ohooroo
Kya tera kya mera bhula de mere yaar
ga beta ga
goro ki na kalo ki duniya hai dilwalo ki
ha goro ki na kalo ki duniya hai dilwalo ki
haske jiye haske mare hum jaise dilwalo ki
ho goro ki na kalo ki duniya hai dilwalo ki
ho goro ki na kalo ki duniya hai dilwalo ki
(gali gali main geet humare gunje subaho sham
hum geeto ke saudagar hain yahi humara kaam) - 2
na sona na chandi, geeto se humko pyar - 2
goro ki na kalo ki duniya hai dilwalo ki - 2
(ha jeena hain din char yahan khush ho ke jee le yaar
karna hai kutch agar tujhe jee bhar ke kar le pyar) -2
kya tera kya mera bhoola de mere yaar - 2
goro ki na kalo ki duniya hai dilwalo ki
haske jiye haske mare hum jaise dilwalo ki
ho goro ki na kalo ki duniya hai dilwalo ki - 2
    

Diwali Ki Raat


    
Do Aankhen Baarah Haath
Aye maalik tere bande hum
    
Do Badan
Bhari duniya mein aakhir dil ko samjhaane kaha jaaye
Mohabbat ho gayi jinko woh diwaane kaha jaaye

Lage hain shama par pehre zamaane ki nigaahon ke
Jinhein jalne ki hasrat hai woh parwaane kaha jaaye
Bhari duniya mein aakhir dil…

Sunaana bhi jinhein mushkil chhupaana bhi jinhein mushkil
Zara tu hi bata eh dil woh afsaane kaha jaaye
Bhari duniya mein aakhir dil…


    

Jab chali thandi hawaa
    

YouTube Video
Naseeb mein jiske jo likha tha woh teri mehfil mein kaam aaya
Kissi ke hisse mein pyaas aayi, kissi ke hisse mein jaam aaya
Main ik fasaana hun bekasi ka, ye haal hai meri zindagi ka
Na husn hi mujhko raas aaya, na ishq hi mere kaam aaya
Naseeb mein jiske jo likha tha...
Badal gayi teri manzilein bhi, bichhad gaya main bhi kaarvaan se
Teri muhabbat ke raaste mein, na jaane ye kya makaam aaya
Naseeb mein jiske jo likha tha...
Tujhe bhoolaane ki koshishein bhi, tamaam naakaam ho gayi hain
Kissi ne zikr-e-wafa kiya jab, zubaan pe tera hi naam aaya
Naseeb mein jiske jo likha tha...
    
Do Badan
Rahaa gardishon mein har dam mere ishk kaa sitaaraa
Kabhee dagamagaayee kashtee, kabhee kho gayaa kinaaraa

Koyee dil ke khel dekhe, ke mohabbato kee baazee
Wo kadam kadam pe jeete, main kadam kadam pe haaraa

Ye humaaree badanaseebee, jo naheen to aaur kyaa hai
Ke usee ke ho gaye hum jo naa ho sakaa humaaraa

Pade jab gamon se paale, rahe mit ke mitane waale
Jise maut ne naa poochhaa, use jindagee ne maaraa

    

Do Bhai
Dishant
Samne Aaj Dono Jahan
    
Is Duniya Mein O Duniyawalo
    

Yaad karoge 
Yaad karoge, yaad karoge, ik din ham ko yaad karoge 
Tadapoge, fariyaad karoge, ik din ham ko yaad karoge 
Aayengi jab saawan ki raaten
Jaag uthengi bhuli baaten 
Dard se dil aabaad karoge, 
Ik din ham ko yaad karoge 
Jise basaayaa thaa kabhi man men 
Dhoondhoge, dhoondhoge use baagh men, ban men, 
Dhoondhoge 
Dil kaa sukun barabaad karoge, 
Ik din ham ko yaad karoge 
Dil men basaa ke chhod diya hai 
Apana hi ghar barabaad kiya hai 
Kaise use aabaad karoge, 
Ik din ham ko yaad karoge 
Kho kar ham ko paa na sakoge
Honge jahaan ham, aa na sakoge 
Aa na sakoge, paa na sakoge, 
Tadapoge tadapoge fariyaad karoge 
Yaad karoge, yaad karoge, ik din ham ko yaad karoge 
Tadapoge, fariyaad karoge, ik din ham ko yaad karoge
    
Do Chor
Kaali palak teri gori khulane lagi hai thodi-thodi
Ek chorani ek chor ke ghar karane chali hai chori ho chori
Kaali palak piya mori khulane lagi hai thodi-thodi
Ek chorani ek chor ke ghar karane chali hai chori ho chori
Kaali palak piya mori

Aayegi bandh ke payal too honth dabaye badan ko churaye

Najuk kamar sey lagaye ada ki katari jalima
Pheregi dhire-dhire too mere gale par yeh baho ke kanjar
Jayegi dil mera lekar samajh ke anadi balama
Roj rat ko yu hi bandhegi lato ki dori ho dori
Kaali palak teri gori khulane lagi hai thodi-thodi
Ek chorani ek chor ke ghar karane chali hai chori ho chori
Kaali palak piya mori
Naa toh mai dor se bandhu na jal bichau na tir chalau
Najuk kamar sey lagau chhuri naa katari sajana o sajana
Mai toh tera dil lungi tujhse chupa ke najar ko bacha ke
Are yu hi jara muskara ke kahungi anadi sajana
Roj rat ko tere ghar hogi teri chori ho chori
Kaali palak piya mori khulane lagi hai thodi-thodi
Ek chorani ek chor ke ghar karane chali hai chori ho chori
Kaali palak teri gori

Achchhi huyi meri chori ek dil khoya ek dil paya

Aise koyi pas aaya ki aa gaya lutane kaa maja
Achchi teri meri jodi ki lut gaye dono ho fas gaye dono
Hans ke lipat gaye dono hua jab wada pyar kaa
Roj rat ko milenge chanda aur chakori o chakori
Kaali palak teri gori khulane lagi hai thodi-thodi
Ek chorani ek chor ke ghar karane chali hai chori

Do Dooni Chaar

Havaaon pe likh do havaaon ke naam 
Ham anajaan paradesiyon ka salaam 
Havaaon pe likh do ...
Shaakh par jab, dhoop aaee haath chhoone ke liye - 2
Chhaanv chham se, neeche kudi hans ke boli Aiye 
Ye bhole se chehare hain maasoom naam 
Havaaon pe likh do ...
Chulabula ye paani apani raah bahana bhulakar 
Lete lete, Aina chamaka raha hai phool par 
Yahaan subah se khela karati hai shaam 
Havaaon pe likh do ...
    

Do Raaste
Bindiya chamkegi
|    

YouTube Video
Khizaan ke phool pe aati nahin
    
ye reshamii zulfe.n, ye sharabatii aa.Nkhe.n
inhe.n dekh kar jii rahe hai.n sabhii - 2
ye ...

(jo ye aa.Nkhe sharam se, jhuk jaae.ngii
saarii baate.n yahii.n bas, ruk jaae.ngii ) - 2
chup rahanaa ye afasaanaa, koii inako naa batalaanaa ki
inhe.n dekh kar jii rahe hai.n sabhii - 2
ye ...

(zulfe.n maGaruur itanii, ho jaae.ngii
dil to ta.Dapaae.ngii, jii ko tarasaae.ngii ) - 2
ye kar de.ngii diivaanaa, koii inako naa batalaanaa ki
inhe.n dekh kar jii rahe hai.n sabhii - 2
ye ...
Smule
    
Doctor

    Aayi bahaar aaj aayi bahaar
    Aa aa aa
    Bahaar aaj aayi bahaar
    Gulshan mein
    Gulshan mein liye phoolon ke haar
    Bahaar aaj aayi bahaar
    Aa aa aa
    Bahaar aaj aayi bahaar
    Aa haa haa
    Mere dil mein bhi taazaa
    Umangein badhin
    Mere dil mein bhi taazaa
    Umangein badhin
    Aarzuyen badhi aur kaisi badhin
    Liye phoolon ke haar
    Bahaar aaj aayi bahaar
    Bahaar aaj aayi bahaar
    Aa haa haa
    Masti se daali jo yoon jhoom uthin
    Is mast se inki aankhein laden
    Masti se daali jo yoon jhoom uthin
    Is mast se inki aankhein laden
    Aaj har phool par hai nayi taazgi
    Rang chookha anokha hai
    Khushbu nayi
    Andleeben pukaarin
    Jyun hi ye suna
    Liye phoolon ke haar
    Bahaar aaj aayi bahaar
    Aa haa haa
    Bahaar aaj aayi bahaar
    Aaa aaa
    Aaj phoolon ka bulbul se
    Byaah hone ko hai
    Aaj phoolon ka bulbul se
    Byaah hone ko hai
    Aaj thaalon mein
    Chandan aane ko hai
    Aaj pyaalon mein
    Ubtan aane ko hai
    Aaj thaalon mein
    Chandan aane ko hai
    Aaj pyaalon mein
    Ubtan aane ko hai
    Aao taraane chhedein naye
    Aao mil jul ke gaane gaayein naye
    Aao shaadi rachaayein
    Shor ham sab naye
    Hai ye shaadi nayi
    Aao duniya badalne ka din aa gaya
    Liye phoolon ke haar
    Bahaar aaj aayi bahaar
    Bahaar aaj aayi bahaar
    
    Chale pawan ki chaal
    Jag mein chale pawan ki chal
    Yahi chalan hai jag sewa ka
    Yahi jeewan sukhpaal
    Jag mein chale pawan ki chal
    Chale pawan ki chaal
    Jag mein chale pawan ki chal

    Is nagri ki dagar dagar mein
    Laakhon hain janjaal
    Is nagri ki dagar dagar mein
    Laakhon hain janjaal
    Sakhti narmi sardi garmi
    Ek saanche mein dhaal
    Jag mein chale pawan ki chal
    Chale pawan ki chaal
    Jag mein chale pawan ki chal

    Dukh ka naash ho sukh ka palan
    Donon bojh sambhal
    Chubhhte kaante pis pis jaawe
    Phool na ho pamaal
    Phool na ho pamaal
    Kat na sake ye lamba rasta
    Kat na sake ye lamba rasta
    Katein hazaaron saal
    Jahaan pahunchne par dam toote
    Hai wahi kala kaar
    Jag mein pawan ki chal
    Chale pawan ki chaal
    Jag mein pawan ki chal.


    
Haay
Aaj apanii mehanaton kaa
Mujh ko samaraa mil gayaa -2
Jis men khud khoyaa huaa thaa main -2
Wo saharaa mil gayaa
Aaj apanii
Rah gayaa
Aa
Rah gayaa milane se kyaa
Jab chain dil kaa mil gayaa
Aa
Phuul ye aadhaa gayaa
To baag saaraa mil gaayaa
Phuul ye aadhaa gayaa
To
Suukhe patte
Suukhe patte jhaad kar
Sar-sabz hote hain shazar
Jitanaa kuchh lutataa rahaa
Usase jiyaadaa mil gayaa
Jitanaa kuchh lutataa
Aarazuu
Aarazuu taskiin-e-dil ko
Aarazuu-e-ehatamaat
Aa
Ye naa socho kyaa na paayaa
Ye kaho kyaa mil gayaa
Aaj apanii mehanaton kaa
Mujhako samaraa ? mil gayaa
    
YouTube Video
Guzar gayaa wo zamaanaa kaisaa-kaisaa
Guzar gayaa wo zamaanaa
Kaisaa-kaisaa
Hansii-kushii kii bahaar thii jisamen
Guzar gayaa wo zamaanaa
Kaisaa-kaisaa
Guzar gayaa
Phuul tamannaavon ke jisamen
Qadam-qadam par khilate the
Ab wo hii rasataa ujadaa ban hai
Jisape hai aanaa-jaanaa
Kaisaa-kaisaa
Guzar gayaa wo zamaanaa
Hansataa hu_aa
Hansataa hu_aa ek charaag hai jisase
Konaa-konaa roshan thaa
Aisaa bujhaa ke
Aisaa bujhaa ke dubaaraa jisako
Minatin ? nahiin jalaanaa
Kaisaa-kaisaa
Guzar gayaa wo
Gayaa zamaanaa
Gayaa zamaanaa phir aayegaa
Jaane waalii jaanegii
Hamako na pahachaanegaa jo ko_ii
Ham bhii -2
Ham bhii kyuun pahachaanenge
Aa jaa aa jaa
    
Hai
Mahak rahii phulawaarii hamarii
Mahak rahii phulawaarii
Jhuum rahii hai daarii-daarii
Daarii-daarii
Mahak rahii phulawaarii hamarii
Mahak rahii phulawaarii
Tezii-tezii chalii
Tezii-tezii chalii hawaayen
Phuul-phal bikharaaye -2
Man aashaa kaa ped sukhaayaa
Dukh par dukh pahonchaaye
Meraa banataa kaam naa bigadaa
Maut bhii thak ke haarii
Mahak rahii phulawaarii hamarii
Mahak rahii phulawaarii
Sukh ke baadal
Sukh ke baadal phir ghir aaye
Bigadaa kaam banaayaa
Jiiwan-jal ne baras-baras ke
Dayaa damaa palataayaa ?
Phir se mahakii phir se lahakii -2
Suukhii hu_ii har kyaarii
Mahak rahii phulawaarii hamarii -2
Mahak rahii phulawaarii

    
Doli
Danton tale daba kar honth
Aankhen karke badi badi
Khaa jaayegi mujhako aaise
Dekh rahi hai khadi khadi
Ek haseena laga hai jisko unees upar ek maheena
Danton tale daba kar honth
Aankhen karke badi badi
Kha jaayegi mujhakio jaise
Dekh rahi hai khadi khadi
Ek haseena laga hai jisko unees upar ek maheena
Phoolon ka ras pee pee kar
Husn pe rangat aayi hain
Aankhon mein phitne chaal qayamat
Dhokh tabiyat paayi hain - 2
Naagin jaisi balkhati
Bijali jaisi lehtraati - 2
Ek haseena laga hai jisko unees upar ek maheena
Danton tale daba kar honth
Aankhen karke badi badi
Khaa jaayegi mujhako aaise
Dekh rahi hai khadi khadi
Ek haseena laga hai jisko unees upar ek maheena
Has has ke thukaraati jaa
Tadpenge tadpati jaa
Lekin aye imaan ki dushaman
Itna th samjhati jaa - 2
Pyar khada hai raahon mein
Kab aayegi baahon mein - 2
Ek haseena laga hai jisko unees upar ek maheena
Danton tale daba kar honth
Aankhen karke badi badi
Khaa jaayegi mujhako aaise
Dekh rahi hai khadi khadi
Ek haseena laga hai jisko unees upar ek maheena
    
Don
Audio Karaoke
Aaj ki raat
    
Are bhang kaa rang jamaa ho chakaachak
Phir lo paan chabaay
Are aisaa jhatakaa lage jiyaa pe
Punar janam hoi jaay

O khaaike paan banaaras vaalaa - (2)
Khul jaae band akal kaa taalaa
Khaaike paan banaaras vaalaa
Khul jaae band akal kaa taalaa
Phir to aisaa kare dhamaal
Seedhii kar de sabaki chaal
O chhoraa gangaa kinaare vaalaa - (2)
Khaaike...

Are raam duhaai kaise chakkar mein pad gayaa haay haay haay
Kahaan taang fansaai main to suuli pe chadh gayaa haay haay
Kaisaa seedhaa saadaa main kaisaa bholaa bhaalaa, haan haan
Are, kaisaa seedhaa saadaa main kaisaa bholaa bhaalaa
Jaane kaun ghadi men pad gayaa padhe-likhon se paalaa
MeeThi chhuri se meethi chhuri se huaa halaal
Chhoraa gangaa kinaare vaalaa - (2)

Ek kanyaa kunvaari hamari soorat pe mar gayee haay haay haay
Ek meethi kataari, hamare dil men utar gayee haay haay
Kaisi gori gori o teekhi teekhi chhori, vaah vaah
Are kaisi gori gori o teekhi teekhi chhori
Karake joraa-jori, kar gayee hamare dil ki chori
Mili chhori to mili chhori to huaa nihaal
Chhoraa gangaa kinaarevaalaa...


    
Don
YouTube Video
Duniya mein logon ne dil apne phir thaame 
Aaya hoon lekar main phir kitne hangaamen 
Zara dekho kaun aa gaya hai 
Zamane pe jo chha gaya hai 
Jami jispe hain sab nigaahen 
Khuli kiski khaatir hai baahen 
Aaisa dildaar aaya hai kaun 
Mujhko pehchaan lo main hoon don 
Main zindagi ki baazi lagake maut se khelta hoon juaa 
Na mujhko gham hai na mujhko parwaah kaun mera dushman huaa 
Dushman jo mera ho rehta nahi duniya mein 
Bahut hi khatarnaak hoon main - 2 
Har ek pal mein chaalak hoon mein 
Duniya phir jeetne aya kaun 
Mujhko pehchaan lo main hoon don 
Palken bichhaye paas bulaayen kitni haseenaye mujhe 
Lekin do aankhen aankhon mein jhaankje 
Aur woh behkaaye mujhe 
Ye nigaahen yeh bataaye 
Raaz hai in mein nashile 
Ajab sa nasha chha raha hai - 2 
Mere dil ko behka raha hai 
Dekho behka huaa aaya kaun 
Mujhko pehchaan lo main hoon don
    
Don
Arre deewaano zaraa pehchaano
    

Ye mera dil pyaar ka deewana
    
Don 2
Koi jaane na yeh kaisi aag hai...
Mere dil ko dasta yeh kaisa naag hai...
Har ghadi main jisko dhundun bachke na jaayega
Haan kahin na kahin toh ek din mujhe mil hi jaayega
Dushman mera
Mujhe dhundna aasaan hai kahaan zamin dekh lo ya aasmaan
Main ek pal yahan main ik pal hun wahan
Nahin paaoge mera nishaan
Jo koi bhi mujhko dhunde woh kuch naa paayega
Dil mein hi woh dil ke armaan wapas le jaayega
Samjhe jara dushman mera
Inn aankhon main hai jaane kaisi jwala
Iss ko matt bujhne dena sunn lo mera kehna
Gusse main kitani tum dilkash lagati ho
Jab tak bhi reh pao tum gusse mein hi rehana
Mera gussa toh dekhoge ek din
Mere dil mein kya hai jaanoge ek din
Tumse main itna keh dun woh din jab aayega
Dil main hi woh dil ke armaan wapas le jaayega
Samjhe jara dushman mera


Na koi raat hai na koi din yahaan
Kya yeh andhera hai ki sirf hai dhuan
Aankhein dhoka khaati hain yeh kisko pata nahi
Jaane kya hai yahaan aur jaane yahaan kya nahi
Hai ye maya
Hire jo lagte hai woh mumkeen hai angaarein ho
Chingaari lagate hai jo ho sakata hai taare ho
Aankhein dhoka khaati hain yeh kisko pata nahi
Jaane kya hai yahaan aur jaane yahaan kya nahi
Hai ye maya
Chehare hain sab ek se tu kaise pehchanega
Dushman hai ya dost hain tu kaise yeh jaanega
Aankhein dhoka khaati hain yeh kisko pata nahi
Jaane kya hai yahaan aur jaane yahaan kya nahi
Hai ye maya - 4
Duniya main logon ne phir apane dil thaame
Aaya hoon lekar main phir kitne hungame
Phir maine socha hai main jitun sab hare
Darwaaze khool jaaye gir jaaye dewaarein
Mujhse takara paya hai kaun
Mujhko pehchaanlo main hoon don
Duniya mujhe jo bhi kahe iss ki mujhe parwah hai kya
Mujhko ko toh hai yeh dekhna jitne ki hai raah kya
Jo mujhko rokana chaahe unko hai kya yeh pata
Don ko pakadna mushkil hi nahin namumkin hai
Duniya phir jitne aya kaun don don
Mujhko pehchaanlo main hoon don
Don


Dilkashi aur dilbari uski hai jadugari oh - 2
Jiski aankhein hai taare tehra jis pal hai saare
Aye dil yeh sach hai kya aaj woh hai kya aa hi gaya
Zara dil ko thaam lo naam lo keh bhi do hai kaun
Aa gaya aa gaya laut ke
Dekho don
Jo na samjha koi main wohi raaz hoon
Jo kisi ka nahi hai woh andaaz hoon
Jo na samjha koi main wohi raaz hoon
Jo kisi ka nahi hai woh andaaz hoon
Main samandar se gehara main kahin kab hoon thehara
Main hoon jaise dhuan yeh dhuaan kahin hai rukata kahan
Zaraa dil ko thaam lo naam lo keh bhi do hai kaun
Aa gaya aa gaya laut ke
Dekho don
Tu nahi hai dhuan ek shola hai tu meri jaan
Paas tere magar aaungi tujh mein hi jalke marr jaungi
Mujhko chaha toh paaogi kya
Main kahan jaaunga mera kya hai pata...
Zaraa dil ko thaam lo naam lo keh bhi do hai kaun
Aa gaya aa gaya laut ke dekho don
Dekho don
Mere dushman samajh rahe thay main ab kabhi laut ke na aaunga
Ek gumnaami ka samundar hai uss mein hi jaa ke doob jaunga
Abhi baaki meri kahani hai saari duniya ko jo sunaani hai
Mujhe phechano dekho main hun kaun aa raha hoon palat ke
Main hoon (don) - 3

    

Zara dil ko tham lo
    
Dooj Ka Chaand
Mehfil se uth jaane vaalo
tum logon par kyaa ilzaam 

Tum aabaad gharon ke baasi
main aavaaraa aur badnaam 

Mere sathi mere saathi
Mere sathi khaali jaam 
Mere sathi khaali jaam 

Do din tum ne pyaar jataayaa
do din tum se mel rahaa 

Achchhaa khaasaa vaqt kataa aur
achchhaa khaasaa khel rahaa 

Ab us khel kaa zikr hi kaisa
vakt kataa aur khel tamaam 

Mere sathi mere saathi
mere saathi khaali jaam 

Tum ne dhoondhi sukh ki daulat
maine paala gham kaa rog 

Kaise banataa kaise nibhataa
ye rishtaa aur ye sanjog 

Maine dil ko dil se tola
tum ne maange pyaar ke daam 

Mere sathi mere saathi
mere saathi khaali jaam 

Tum duniyaa ko behatar samajhe
main paaghal tha khaar huya 

Tum ko apanaane nikalaa tha
khud se bhi gaizaar rahaa 

Dekh liyaa gharphoonq tamaashaa
jaan liyaa apanaa anjaam 

Mere sathi mere saathi
mere saathi khaali jaam 

    

sun ai maahazabin (mujhe tujhase ishq nahin)-2
tujhase ishq nahin nahin nahin
e vallaah
yun main tera qaayal hun
naaz-o-adaa pe maayal hun
jalavon kaa dam..
jalavon ka dam bharata hun
chhup-chhup dekha karata hun
par ai pardaanashin
mujhe tujhase ishq nahin....
tujhase nazar jab ladati hai
chot si dil par padati hai
paanv bahakane..
paanv bahakane lagate hain
saans dahakane lagate hai
par hai mujhko yaqin
mujhe tujhase ishq nahin....
gair se jab tu hans ke mile
jaag uthate hain dil men gile
ulajhan men..
ulajhan men pad jaata hun
soch ke kuchh ghabaraata hun
par e shokh hasin
mujhe tujhase ishq nahin.....
tu voh dilakash hasti hai
jo khvaabon men basati hai
tu kah de to
tu kah de to jaan de dun
jaan to kya imaan de dun
par ai haasil-e-diin
mujhe tujhase ishq nahin...
    

Door
Aankhain Chupa Kay
Neendain Chura Kay
Najane Tum Gai Kahan
Meray Jeevan Ko
Dikha Kay Roshni
Najane Tum Gai Kahan

Aankhain Chupa Kay
Neendain Chura Kay
Najane Tum Gai Kahan

Kyun Milay Thay
Yeh Batao Na
Kyun Gaye Ho
Laut Aao Na
Kyun Milay Thay
Yeh Batao Na
Kyun Gaye Ho
Laut Aao Na

Raat Din Huay Ab Soonay
Raat Din Huay
Meray Jeevan Ko
Dikha Kay Roshni
Najane Tum Gai Kahan
Aankhain Chupa Kay
Neendain Chura Kay
Najane Tum Gai Kahan

Jo Chupay Ho 
Muskura Kar
Jo Gaye Ho
Dhun Suna Kar
Jo Chupay Ho 
Muskura Kar
Jo Gaye Ho
Dhun Suna Kar

Raat Din Huay Ab Soonay
Raat Din Huay
Meray Jeevan Ko Dikha Kay Roshni
Najane Tum Gai Kahan
Aankhain Chupa Kay
Neendain Chura Kay
Najane Tum Gai Kahan

Meray Jeevan Ko Dikha Kay Roshni
Najane Tum Gai Kahan
Aankhain Chupa Kay
Neendain Chura Kay
Najane Tum Gai Kahan


    
Door Gagan Ki Chhaon Mein
Aa chal ke tujhe main le ke chaluun
Ik aise gagan ke tale
Jahan gam bhii na ho, aansoo bhi na ho
Bas pyaar hii pyaar pale

Suraj ki pahali kiran se, aashaa kaa savera jaage-2
chandaa kii kiraN se dhul kar, ghanaghor andhera bhaage-2
kabhi dhuup khile kabhi chhaav mile
lambii sii Dagar na khale
jahan gam bhi na ho, aansoo bhi na ho
bas pyaar hi pyaar pale
ik aise gagan ke tale

Jahan door nazar daud aae, aazaad gagan laharaae laharaee-2
jahan rang birange panchhi, aashaa kaa sandesaa laayen-2
sapano me pali hansati ho kali
jahan shaam suhaani dhale
jahan gam bhi na ho, aansoo bhi na ho
bas pyaar hi pyaar pale
ik aise gagan ke tale

Sapano Ke aise jahan mein jahan pyaar hi pyaar khila ho
hum jaa ke vahan kho jaaye shikuva na koyi ghila ho
kahin bhair na ho koyi ghair na ho
sab milke chalte chale
jahan gam bhi na ho aansoo bhi na ho
bas pyaar hi pyaar pale
ik aise gagan ke tale
aa chal ke tujeh mein leke chaluun
ik aise gagan ke tale
jahan gam bhi na ho aansoo bhi na ho
bas pyaar hi pyaar pale
ik aise gagan ke tale

    
Door Gagan Ki Chhaon Mein

Raahi tu mat ruk jaana toofaan se mat ghabraana
Kabhi to milegi teri manzil
Kahi door gagan ki chhaao mein
Maana ki gehri hai dhaara
Par hai kahi to kinaara
Tu bhi mila aasha ke sur mein
Man ka ye ektaara
Kabhi to milegi teri manzil
Kahi door gagan ki chhaao mein
Sabka hai upar waala
Sab ko ussi ne sambhaala
Jab bhi ghere gham ka andhera
Usne kiya ujyaala
Kabhi to milegi teri manzil
Kahi door gagan ki chhaao mein
Raahi tu mat ruk jaana, toofaan se mat ghabraana
Kabhi to milegi teri manzil
Kahi door gagan ki chhaao mein
Kahi door kahi door kahi door kahi door 
    
Door Ka Raahi
Bekraar dil tu gaaye ja
    

Chalti chali jaaye, zindagi ki dagar
Kabhi khatm na ho, ye safar
Manzil ki usse, kuchh bhi na khabar
Phir bhi chala jaaye, door ka raahi
Door ka raahi (2) …
Mud ke na dekhe, kuchh bhi na bole
Bhed apne dil ka, raahi na khole
Aaya kaha se, kis desh ka hai
Koyi na jaane, kya dhhundhhta hai
Manzil ki usse …
Jhalke na kuchh bhi, aasha niraasha
Kya koyi samajhe, naino ki bhaasha
Chehra ki jaise, kora safa hai
Qismat ne jis par, kuchh na likha hai
Manzil ki usse…
    
Khushi do ghadi ki, mile na mile 
Shama arazu ki, jale na jale 
Khushi do ghadi ki ... 
Rahaguzar mein kai manzilen bhi milen 2 
Dekh kar ek pal, dam liya phir chale 
Khushi do ghadi ki ... 
Har kadam par nae marhale the khade 2 
Ham chale dil chala, dil chala ham chale 
Khushi do ghadi ki ...
YouTube
    
Door Ki Awaaz
Banaa ke meraa muqaddar bigaadane vaale 
Javaab de o meraa ghar ujaadane vaale 
Kyaa yunhi rooth ke jaane ko mohabbat ki thi -2 
Zindagii meri mitaane ko mohabbat kii thi 
Kyaa yuun hii ruuth ke jaane ko mohabbat ki thi
Aankh men khwaab tere lab pe kahaani teri-2
Mujhako tadapaatii hai din-raat nishaani teri 
Kyaa mujhe tuune rulaane ko mohabbat ki thi 
Zindagii merii mitaane ko mohabbat ki thi 
Kyaa yuun hii ruuth ke jaane ko mohabbat ki thi
O mujhe bhoolane vaale tuu kahaan hai aajaa-2
Kyaa hu_ii mujhase khataa ye to zaraa batalaa jaa 
Yaa ye kah de ke dikhaane ko mohabbat ki thi 
Zindagii merii mitaane ko mohabbat ki thi 
Kyaa yuun hii ruuth ke jaane ko mohabbat ki thi-2

    
YouTube Video
Dil meraa aaj kho gayaa hai kahin-2 
Aap ke paanv ke niiche to nahin-2 
Dil meraa aaj kho gayaa hai kahin-2 
Yuun nazar pher ke mat jaa_i_e ruki_e to zaraa-2
Aapako merii qasam thahari_e suni_e to zaraa-2 
Hai jahaan aap meraa dil hai vahin-2 
Aap ke paanv ke niiche to nahin-2 
Dil meraa aaj kho gayaa hai kahin-2
Kis tarah dil kii main tauhiin ganvaaraa kar luun-2
Aapakii bholii nigaahon pe bharosaa kar luun-2 
Dil churaataa nahiin hai kaun kahiin-2 
Aap ke paanv ke niiche to nahin-2 
Dil meraa aaj kho gayaa hai kahin-2 
Dil churaayaa ho to pahaluu men chhupaa_e rakhi_e-2 
Zindagii bhar mujhe diivaanaa banaa_e rakhi_e-2 
Lekin ek baar dilaa diiji_e yaqiin-2 
Aap ke paanv ke niiche to nahin-2 
Dil meraa aaj kho gayaa hai kahin-2
    
Hum bhi agar bachche hote, 
Hum bhi agar bachche hote 
Naam hamaara hota dabloo babloo khaane ko milte laddoo 
Aur duniya kehti happy birthday to you 
Happy birthday to you 
Hum bhi agar bachche hote, 
Hum bhi agar bachche hote 
Naam hamaara hota dabloo babloo khaane ko milte laddoo 
Aur duniya kehti happy birthday to you 
Happy birthday to you 
Koi laata gudiya – motor 
Rail to koi laata phirki – lattoo, 
Koi chaabee kaa tattoo 
Aur duniya kehti happy birthday to you 
Happy birthday to you 
Kitni pyaari hotee hai yeh bholee si umar 
Naa naukri ki chinta naa roti ki phikar 
Nanhe munne hote hum to dete sau hukam 
Peechhe phirte daddy mummy ban ke naukar 
Choclate-biscuit-toffee khate, aur peete duddhoo 
Aur duniya kehti happy birthday to you 
Happy birthday to you 
Hum bhi agar bachche hote, hum bhi agar bachche hote 
Naam hamaara hota dabloo babloo khaane ko milte laddoo 
Aur duniya kehti happy birthday to you 
Happy birthday to you 
Kaise kaise nakhare karte, ghar walon se ham
Pal me hanste, pal me rote, karte naak me dam 
Akkad bakkad, lukka chhuppi, kabhi chhua chhoo 
Karte din bhar halla gulla, dangaa aur uddham 
Aur kabhi jid par add jaate, jaise adiyal tattoo 
Aur duniya kehti happy birthday to you 
Happy birthday to you 
Hum bhi agar bachche hote, hum bhi agar bachche hote 
Naam hamaara hota dabloo babloo khaane ko milte laddoo 
Aur duniya kehti happy birthday to you 
Happy birthday to you 
Ab to hai yeh haal ki jab se beeta bachhpan
Maa se jhagda, baap se takkar, beewi se unban 
Kolhoo ke ham bail bane hain, dhobi ke gaddhe 
Dunya bhar ke sar pe dande khayen danaa dan 
Bachpan apanaa hota to naa karte dhainchoo dhainchoo 
Aur duniya kehti happy birthday to you 
Happy birthday to you 
Hum bhi agar bachche hote, hum bhi agar bachche hote 
Naam hamaara hota dabloo babloo khaane ko milte laddoo 
Aur duniya kehti happy birthday to you 
Happy birthday to you 
Happy birthday to yooooooooou
    
YouTube Video
[Husn se chaand bhii sharamaayaa hai 
Terii suurat ne gazab dhaayaa hai] -2 
Haay in pyaar men doobii hu_ii aankhon kii qasam-2
Aadamii kyaa hai farishton ke bahak jaa_en qadam-2 
Bin piye mujhape nashaa chhaayaa hai 
Terii suurat ne 
Jab se paayaa hai tujhe hosh nahiin hai mujhako 
Yaa to ye sach hai ki dekh rahaa huun tujhako 
Yaa ko_ii kvaab nazar aayaa hai 
Terii suurat ne 
Muskaraa_en jo tere lab to bahaaren aa_iin-2 
Khil ga_e phuul padii terii jahaan parachhaa_iin-2 
Tuune gulashan meraa mahakaayaa hai 
Terii suurat ne
    
[Ik musaafir ko duniyaa men kyaa chaahiye 
Sirf thodii si dil men jagah chaahiye]-2 
Baith jaa_uun 
[Koyee baitha koyee leta magar khade hum
Ye kaisee khudgarzi ye kaisa hai sitam]-2
Khisak zaraa pyaare sarak zaraa pyaare -2
Saath mil kar hamen baithna chaahiye
Ik musaafir ko duniyaa men kyaa chaahiye 
Sirf thodii sii dil men jagah chaahiye
Baith jaa_uun 
[O mote laalaa tuune kiyaa hai kaisaa chhal
Ticket teraa single magar tuu double] -2 
Khisak zaraa pyaare sarak zaraa pyaare -2 
Aisii body men dil bhii badaa chaahi_e 
Ik musaafir ko duniyaa men kyaa chaahiye 
Sirf thodii sii dil men jagah chaahiye
Baith jaa_uun 
[O naqli daadhii vaale tuu gussaa mat kar
Hamen bhii jagah de-de zaraa khudaa se dar]-2 
Khisak zaraa pyaare sarak zaraa pyaare -2 
Teraa photo na teraa pataa chaahi_e 
Ik musaafir ko duniyaa men kyaa chaahiye 
Sirf thodii sii dil men jagah chaahiye
Baith jaa_uun 
[Ham par bhii kar do zaraa inaayat kii nazar
Kushii se kat jaa_e hamaaraa bhii safar]-2
Khisak zaraa pyaare sarak zaraa pyaare -2 
Yuun kisii kaa na dil todanaa chaahi_e 
[Ik musaafir ko duniyaa men kyaa chaahiye 
Sirf thodii sii dil men jagah chaahiye]-2
Maine kahaa Baith jaa_uun 
    
Muqaddar aazamaana chaahata hun 
Tumhen apanaa banaanaa chaahataa huun 
Muqaddar aajamaanaa 
Mujhe bas pyaar kaa ik jaam de do 
Main sab kuchh bhuul jaanaa chaahataa huun 
Muqaddar aajamaanaa 
Ghadii bhar ko mere nazadiik aa_o 
Zaraa aankhon se aankhen to milaa_o 
Main haal-e-dil sunaanaa chaahataa huun 
Muqaddar aajamaanaa 
Banaanaa hai mujhe ek aashiyaanaa -2 
Jo tum chaaho to mil jaa_e thikaanaa 
Tumhaare dil men aanaa chaahataa huun 
Muqaddar aajamaanaa

    

[Toot gayee mere man ki muralia
Rah gaye geet adhoore]-2
Aas niraasa jal gayee meri huye na sapne poore
Toot gayee mere man ki muralia
Is duniya ke log kissee ke dil ka fasaana kya jaane-2
Khushi ke nagme sunane waale ghum ka taraana kya jaane
ghum ka taraana kya jaane
Toot gayee mere man ki muralia
Rah gaye geet adhoore
Toot gayee mere man ki muralia
Haaye re uski majboori jo has paaye na ro paaye-2
Waah re uski qismat jiski duniya mile aur kho jaaye
duniya mile aur kho jaaye
Toot gayee mere man ki muralia
Rah gaye geet adhoore
Toot gayee mere man ki muralia
    
Do Phool
Tadap-tadap ke kati umr aashiyaane men-2
Mila na chain hamen to kabhi zamaane men
Tadap-tadap ke kati umr aashiyaane men
Bahaar aai, khile phul ham to ye samajhe-2
Kisi ne aag lagaai hai, ashiyaane men
Mila na chain hamen to kabhi zamaane men
Tadap-tadap ke kati umr aashiyaane men
Kisi ko kuchh na kaha
Kisi ko kuchh na kaha, apane dil se baaten ki
Ham aap jal gaye, dil ka diya jalaane men
Mila na chain hamen to kabhi zamaane men
Tadap-tadap ke kati umr aashiyaane men
Bhagavaan-4
Hamaare sabr ka bhagavaan imtehaan na le-2
Kahin ye dam na nikal jaaye, aazamaane men
Mila na chain hamen to kabhi zamaane men
Tadap-tadap ke kati umr aashiyaane men
    
Do Raaste
Chhup gaye saare nazaare
oye kya baat ho gayee
Chhup gaye saare nazaare
oye kya baat ho gayee
Toone kaajal lagaaya
din me raat ho gayee
Toone kaajal lagaaya
din me raat ho gayee
Mil gaye naina se naina
oye kya baat ho gayee
Mil gaye naina se naina
oye kya baat ho gayee
Dil ne dil ko pukaara
mulaakaat ho gayee
Dil ne dil ko pukaara
mulaakaat ho gayee

Kal nahin ana, mujhe na bulaana
ki maarega taana zamaana
Kal nahin ana, mujhe na bulaana
ki maarega taana zamaana
Tere hothon pe raat ye bahaana tha
Gori tujh ko to aaj nahin aana tha
Tu chali aayee duhaayee
oye kya baat ho gayee
Tu chali aayee duhaayee
oye kya baat ho gayee
Mainne chhoda zamaana
tere saath ho gayee
Mainne chhoda zamaana
tere saath ho gayee
O Toone kaajal lagaaya
din men raat ho gayee

Ambuwa ki daali pe gaaye matawaali
koyaliya kaali niraali
Ambuwa ki daali pe gaaye matawaali
koyaliya kaali niraali
Saawan ane ka kuchh matlab hoga
Baadal chhaane ka koyee sabab hoga
Rim jhim chhaayee ghataaen
oye kya baat ho gayee
Rim jhim chhaayee ghataaen
oye kya baat ho gayee
Teri chunari laharaai barasaat ho gayee
Teri chunari laharaai barasaat ho gayee
Dil ne dil ko pukaara mulaakaat ho gayee

Chhodo na baiyyan, padun tere paiyan
taaron ki chhaiya men saiyan
Chhodo na baiyyan, padun tere paiyan
taaron ki chhaiya men saiyan
Ek wo din tha milaati n thi tu ankhiyaan
Ek ye din hi tu jaage
saari saari ratiyan
Ban gayee gori chakori
oye kya baat ho gayee
Ban gayee gori chakori
oye kya baat ho gayee
Jis ka dar tha bedardi
wohi baat ho gayee
Jis ka dar tha bedardi
wohi baat ho gayee
Chhup gaye saare nazaare
oye kya baat ho gayee
Dil ne dil ko pukaara
mulaakaat ho gayee
Dil ne dil ko pukaara
mulaakaat ho gayee
Smule SAVITHRI VEMPATI
Smule JABEEN SH
Smule DREAM SINGER
Do rang duniya ke aur do raaste -2
Do roop jeevan ke jeene ke waaste
Do rang duniya ke aur do raaste
Soch samajh ke paav rakhe
Samjha do har deewane ko -2
Ik rasta mandir ko jaaye
Ik jaaye maikhane ko -2
Raasta bhul na jaaye
Raahi dhokha na khaaye
Do rang duniya ke aur do raaste
Do roop jeevan ke jeene ke waaste
Do rang duniya ke aur do raaste
Ek hain aise log jo
Auron ki khatir jeete hain -2
Dusare wo jo apni khaatir
Apno ka khoon bhi peete hain -2
Koi phool khilaaye
Koi kaante bikhraaye
Do rang duniya ke aur do raaste
Do roop jeevan ke jeene ke waaste
Do rang duniya ke aur do raaste
Aur do raaste
YouTube Video

|    
Khizaan ke phool pe aatee kabhee bahaar nahin
Mere naseeb mein aye dost  teraa pyaar nahee

Na jaane pyaar mein kab main, zubaan se fir jaaoo
Main ban ke aansoo khud apanee nazar se gir jaaoo
Teree kasam hain meraa koee, ayetabaar nahee

Main roz lab pe nayee ek aah takataa hoon
Main roz ek naye gam kee raah takataa hoon
Kisee khushee kaa mere dil ko intezaar nahee

Gareeb kaise mohabbat kare ameeron se
Bichhad gaye hain kayee raanjhe, apanee heeron se
Kisee ko apane mukaddar pe ikhtiyaar nahee

    
Do Raaste
 
Ye reshami zulfein ye sharbati aankhein
Inhein dekh kar jee rahe hain sabhi - 2
Ye reshami zulfein…
(Jo ye aankhe sharam se, jhuk jaayengi
Saari baatein yahin bas, ruk jaayengi) - 2
Chup rehena ye afsaana, koyi inko na batlaana ki
Inhein dekh kar jee rahe hain sabhi - 2
Ye reshami zulfein…
(Zulfein magroor itni, ho jaayengi
Dil to tadpaayengi, ji ko tarsaayengi ) - 2
Ye kar dengi diwaana, koyi inko na batlaana ki
Inhein dekh kar jee rahe hain sabhi - 2
Ye reshami zulfein…
    
Door Nahin Manzil
Ajeeb zindagi hai yeh
    
Doosra Aadmi
Aankho me kajal hai, kajal me mera dil hai o ho ho ho
Aankho me kajal hai, kajal me mera dil hai
Aankho me kajal hai, kajal me dil hai
Chalo dil me bithake tumhe, tumse hi pyar kiya jaye
Chalo dil me bithake tumhe, tumse hi pyar kiya jaye
Balo me kushabu hai, kushabu me tu hi tu hai
Balo me kushabu hai, kushabu me tu hai
Chalo phulo ke tale tale, baho kaa har siya jaye
Chalo phulo ke tale tale, baho kaa har siya jaye
Ho chalo dil me bithake tumhe, tum sey hi pyar kiya jaye

Tum toh ho meri bahar, meri najar me khilo

Kaliyo sey milake sanam, phir aake hamase milo
Aise tere naina lade, jaise koyi nasha chadhe
Hay bindiya hanse chali jaye
Teri bindiya darpan hai, darpan me sajan hai
Teri bindiya darpan hai, darpan me sajan
Chalo bindiya sey leke tumhe, dil me utar liya jaye
Chalo dil me bithake tumhe, tumse hi pyar kiya jaye

Kaisa hai apna milan, kaisi mulakat hai

Jaise ada me meri, koyi nayi bat hai
Bani rahe ada teri, sada rahe wafa meri
Aise hi yeh jivan bit jaye
Jivan kya chahat hai, chahat kya jivan hai
Jivan kya chahat hai, chahat kya jivan
Chalo sare jivan kaa yahi, milake ikarar kiya jaye
Ho chalo dil me bithake tumhe, tumse hi pyar kiya jaye
Aankho me kajal hai, kajal me mera dil hai
Aankho me kajal hai, kajal me dil hai
Chalo dil me bithake tumhe, tumse hi pyar kiya jaye
Chalo dil me bithake tumhe, tumse hi pyar kiya jaye
Smule AMITA SINGH
Dor
Ye hausala kaise jhuke
    



    
Songbook Zipped
Free download 2MB
Ownwith Free Karaoke
A
B
C
D
E
F
G
H
I
J
K
L
M
N
O
P
Q
R
S
T
U
V W X Y
Z
Masood Rana
English songs =>
A
B
C
D
E
F
G
H
I
J
K
L
M
N
O
P
Q
R
S
T
U
V W X Y
Z
<=English songs

      An author of a dozen medical books and Janampatri software, prize winner in most extempore contests participated as student, DoctorKC (1944 born MBBS) solicits invitations to attend debates, declamation contests and such other literary/cultural activities in/around Delhi. No obligations either way.
    
Dr K Chaudhry
B-1/104 Paschim Vihar, New Delhi-110063 +91-9810570740 http://ukmall.net/doctorkc