|
Ye hansate huye
phool ye mehka hua gulshan
Ye rang mein
aur noor mein dubi huyee raahen-2
Ye phoolon ka
ras pee ke machalte hue bhanware-2
Main dun to bhi
tumhen kya dun tumhen ai shokh nazaaro
Le de ke mere
paas kuchh aansu hain kuchh aahen
Ye kuuche, ye
niilaam ghar dilakashii ke-2
Ye lutate hue
kaaravaan zindagii ke
Kahaan hain,
kahaan hain muhafiz khudii ke
Jinhen naaz hai
hind par vo kahaan hain
Kahaan hain,
kahaan hain, kahaan hain
Ye purpench
galiyaan, ye badanaam baazaar
Ye gumanaam
raahii, ye sikkon ki jhanakaar
Ye isamat ke
saude, ye saudon pe takaraar
Jinhen naaz hai
hind par vo kahaan hain
Kahaan hain,
kahaan hain, kahaan hain
Ye sadiyon se
bekhauf sahamii si galiyaan
Ye masalii
huyee adhakhili zard kaliyaan
Ye bikatii
huyee khokhalii rangaraliyaan
Jinhen naaz hai
hind par vo kahaan hain
Kahaan hain,
kahaan hain, kahaan hain
[Vo ujale
darechon mein paayal kii chhan chhan
Thakii haarii
saanson pe tabale ki dhan
dhan]
-2
Ye berooh
kamaron me khaansii ki than than
Jinhen naaz hai
hind par vo kahaan hain
Kahaan hain,
kahaan hain, kahaan hain
Ye phuulon ke
gazare, ye piikon ke cheente
Ye bebak
nazare, ye gustaakh fiqare
Ye dhalake
badan aur ye beemaar chehare
Jinhen naaz hai
hind par vo kahaan hain
Kahaan hain,
kahaan hain, kahaan hain
Yahaan peer
bhii aa chuke hain, javaan bhii
Tan-o-mand bete
bhi, abaa miyan bhii
Ye biivii hai
aur bahan hai aur maan hai
Jinhen naaz hai
hind par vo kahaan hain
Kahaan hain,
kahaan hain kahaan hain
Madad chaahatii
hai ye havaa ki beti
Yashodaa ki ham
jins raadhaa ki beti
Payammar ki
ummat julekhaa ki beti
Jinhen naaz hai
hind par vo kahaan hain
Kahaan hain,
kahaan hain, kahaan hain
Zaraa mulk ke
rahbaron ko bulaao
Ye kuuche ye
galiyaan ye manzar dikhaao
Jinhen naaz hai
hind par unako laao
Jinhe naaz hai
hind par vo kahaan hain
Kahaan hain,
kahaan hain, kahaan hain
|