Songbook Zipped
Free download 2MB
Ownwith Free Karaoke
A
B
C
D
E
F
G
H
I
J
K
L
M
N
O
P
Q
R
S
T
U
V W X Y
Z
Masood Rana
English songs =>
A
B
C
D
E
F
G
H
I
J
K
L
M
N
O
P
Q
R
S
T
U
V W X Y
Z
<=English songs
Smule Song Search : Song Titles with Spelling variations listed together
Happy smuling .....
      .....Contd


Youtube videos may not stay for long. In case you find a linked video missing, please message at facebook.com/doctorkc


Ek Baar Musqara Do

Haaregaa jab koee baazee
tabhee to hogee kisee kee jeet 
Dost yahee duniyaa kee reet 
tumhen mubaarak man kaa meet 
Roop teraa aissaa darpan mein naa samaaye 
Khushaboo tere tan kee madhuban mein naa samaaye 
Ho mujhe khushee milee itanee
ke man mein naa samaaye 
Palak band kar loon, kahee chhalak hee naa jaaye 
[Mujhe naa milee jo wo khushee toone paayee
Aye dost mubaarak ho tujhe pyaar kee shahanaaee]-2
Duaa mere dil kee daaman mein naa samaaye 
Tuze pyaar mile itanaa jeewan mein naa samaaye 
Meet meraa chhin liyaa, toone chhab dikhaake
Sadaa use rakhanaa, palakon pe too bithhaake 
Itanaa sukh denaa, jeewan mein naa samaaye 
Yoo ras barasaanaa, aangan mein naa samaaye
    
Nafarat se jinhe tum dekhte ho, 
Tum maarthe ho jinko thokar, 
Kya unpe guzarthi hai dekho, 
Ik baar kabhi ghayal hokar 
Zamane ki aankhon ne dekha hai yaaron, 
Sada apni duniya mein aisa nazara, 
Kabhi unko phoolon se pooja hai sab ne, 
Kabhi jinko logon ne pattar se maara 
Zamaane ki aankhon nedekha hai yaaron 
Pise na jahan tak, patthar pe mehendi, 
Kisi bhi tarah rang, laathi nahin hai, 
Hazaron jagah thokare kha ne le jab, 
Koyi zindagi muskuraathi nahin hai, 
Bina khud mare, kisko jannat mili hai, 
Bina dukh sahe kisne, jeevan savaara 
Zamaane ki aankhon nedekha hai yaaron 
Bhavar se jo ghabarake, peeche haten hein, 
Dubodi hai maujon ne, unki hi nayya, 
Jo toofan se takarake aage bade hein, 
Bina koi maaji, bina hi khivaiya 
Kabhi na kabhi tho, kahin na kahin par 
Hamesha hi unko, mila hai kinara 
Zamaane ki aankhon nedekha hai yaaron 
Yahan aadmi ko sabak dosti ka, 
Sikhate huve jo, lahu mein nahaaya, 
Masiha bana aur gandhi bana voh, 
Hazaron dilon mein, yahan ghar banaya, 
Unhi ki bani hai, yahan yaadgaaren, 
Unhi ke jahan mein, champka sitaara 
Zamaane ki aankhon nedekha hai yaaron

    

Savere ka sooraj tumhaare liye hai 
Ye bujhate diye ko na tum yaad karana 
Hue ek beeti hui baat ham to
Koi aansu ham par na barabaad karana 
Tumhare liye ham, tumhare diye ham
Lagan ki agan mein abhi tak jale hain 
Hamaari kami tum ko mahasoos kyon ho 
Suhaani subah ham tumhen de chale hain 
Jo har dam tumhari khushi chaahate hain 
Udaas hoke unako na naashaad karana 
Savere 
Sabhi vaqt ke aage jhukate rahe hain
Kisi ke liye vaqt rukata nahi hai 
Chiraag apani dharati ka bujhata hai jab bhi 
Sitaare to ambar ke hote nahi hain 
Koi naav toofaan mein doobe to kya hai 
Kinaare to saagar ke hote nahi hain 
Kinaare to saagar ke hote nahi hain 
Hain ham dolati naav doobe to kya hai 
Kinaare ho tum, tum na fariyaad karana 
Savere ka sooraj 
Chaman se jo ek phool bichhada to kya hai 
Naye gul se gulashan ko aabaad karana 
Savere
    

Tujh ko aaj bataanaa hogaa
kyaa thee wo majabooree 
Saath umar bhar kaa denaa thaa
de dee umar bhar kee dooree 
Kitane atal the tere iraade
yaad to kar too wafaa ke waade 
Toone kahaa thaa khaakar kasmein
sadaa nibhaayenge pyaar kee rasmein 
Tu aauron kee kyon ho gayee 
Too humaaree thee, jaan se pyaaree thee 
Tere liye maine ne duniyaan sanwaaree thee 
Too aauron kee kyon ho gayee 
Pyaar kee mastee toone naa chaahee
toone to chaahaa chaandee kaa pyaalaa 
Aasoo kisee ke kyaa too pahanatee
tuz ko pahanatee thee motee kee maalaa 
Pag pag par wishwaas ke badale
chhalaa karegee tuz ko shankaa 
Aag kee lapaton mein lipatee hai
ye teree sone kee lankaa 
Too aauron kee kyon ho gayee 
Kyaa ye tere sukh ke saadhan
meree yaad ko bhulaa sakenge 
Meree yaad jab nind udaa degee
kyaa ye tuz ko sulaa sakenge 
Saadhan mein sukh hotaa naheen hain
sukh jeewan kee ek kalaa hain 
Muz se hee chhal kiyaa naa toone
apane ko toone aap chhalaa hain 
Too aauron kee kyon ho gayee 
Tere liye main laayaa bahaaren
tere liye main jaan pe khelaa 
Do din toone hee raah naa dekhee
chhod ke chal dee muze akelaa 
Teree judaee meree chitaa hain
gam kee chitaa mein main jal rahaa hoon 
Man meraa dahake maraghat jaisaa
angaaron pe main chal rahaa hoon 
Too aauron kee kyon ho gayee
    
Ek Baar Phir
Ye paudhe ye patte ye phul ye hawaye
Ye paudhe ye patte ye phul ye hawaye
Dil ko churaye mujhko lubhaye
Haye man kahe mai jhumu mai gau
Man kahe mai jhumu mai gau
Hariyali bhari in ghatyo me mahakti hui in wadiyo me
Jiwan ki kaliya khil khil jaye ho khil khil jaye re
Ho man kahe mai jhumu mai gau
Ho man kahe mai jhumu mai gau
Kal kal bahti jharno ki dhara haule se chalti hawao ki thandak
Dil ko ek mithi si masti si deti dil ko ek mithi si
Masti si deti sukun sa deti
Man kahe mai jhumu mai gau man kahe mai jhumu mai gau
Gulabi sa mausam suhana nile gagan par halki si badri
Pyara sa kalraw ithalate panchi soye sapne jagaye
Man kahe mai jhumu mai gau man kahe mai jhumu mai gau
Ho man kahe mai jhumu mai gau
Ye paudhe ye patte ye phul ye hawaye
Dil ko churaye mujhko lubhaye
Haye man kahe mai jhumu mai gau man kahe mai jhumu mai gau
Smule HEMA TOMAR
Ek Dil Sau Afsaane
YouTube Video
Kuchh sher sunaataa hun main 
Jo tujh se mukhatib hain 
Ik husn parii dil men hai, ye un se mukhaatib hai 
Kuchh sher sunaataa hun main 
Seekhi hai tum se phool ne hansane ki har ada
Seekhi havaa ne tum se hi, chalane ki har ada 
Aaiinaa tumako dekh ke, hairaan ho gayaa 
Ik bezubaan tumase, pashemaan ho gayaa 
Kitni bhi taareef karun rukti nahin zubaan 
Rukti nahin zubaan 
Kuchh sher sunaataa hun main 
Hathon ki loch ras bhari shaakhon ki daastaan
Naazuk hatheliyon pe vo mehandi ka gulsitaan 
Pad jaaye tum pe dhoop to sanvalaaye goraa tan 
Makhamal pe tum chalo to chhile paaon gulabadan 
Kitni bhi taareef karun rukti nahin zubaan 
Rukti nahin zubaan 
Kuchh sher sunaataa hun main 
Aankhen agar jhuken to mohabbat machal uthe
Nazaren agar uthen to qayaamat machal uthe 
Andaaz main huzuur ka saani nahin koyee 
Donon jahaan main aisi javaani nahin koyee 
Kitni bhi taareef karun rukti nahin zubaan 
Rukti nahin zubaan 
Kuchh sher sunaataa hun main 
    

 
Mast nazar dekh idhar
    
Ek Dil Sau Afsaane
Suno ji suno, hamaari bhi suno
aji maharbaan hamari bhi suno
na tappa, na thumari, gazal hai na kajari
yeh raagini hai pyaar ki
Suno ji suno, hamaari bhi suno
aji maharbaan hamari bhi suno
Taraana hamaara zamaane se nyaara
har ek sur mein dil hai dhadakata hua
har ek bol pyaara ke jaise sitaara
akela gagan mein chamakata hua
Suno ji suno, hamaari bhi suno
aji maharbaan hamari bhi suno
Ishaaron mein boluun, zubaan tak na kholuun
nigaahon se kah duun samajh lo agar
na yah bekudi hai, na divaanagi hai
mujhe to lagi hai tumhaari nazar
Suno ji suno, hamaari bhi suno
aji maharbaan hamari bhi suno
suno mere ji ki, meri aarzu ki
tamanna yahi thi ke tum ho karib
yeh chilman hata do, vah jhalki dikha do
ki ab to jaga do hamaare nasib
Suno ji suno, hamaari bhi suno
aji maharbaan hamari bhi suno

    

Ek Duje Ke Liye
Hum tum dono jab mil jayenge
Hum tum dono jab mil jayenge
Ek naya ithihas banayenge
Aur agar hum na mil paye to
Aur agar hum na mil paye to
To bhi ek naya ithihas banayenge
Hum tum dono jab mil jayenge
Sal mahine har gaye sal mahine har gaye
Dil jit gaya aur judai ka lo ek din bit gaya
Gin gin ke ye duri ke din yu jina mushkil hai
Lekin hum phir bhi ji kar dikhlayenge
Hum phir bhi ji kar dikhlayenge
Ek naya ithihas banayenge
Hum tum dono jab mil jayenge
Duniya me kitne logo ne prem kiya
Duniya ne kitne premo ka khun piya
Pyasi talwar nahi rukti kyu iski pyas nahi bujhti
Hum duniya ki pyas bujhayenge
Hum duniya ki pyas bujhayenge
Ek naya ithihas banayenge
Hum tum dono jab mil jayenge
Phir ye dil dil na tadpta rehata hai
Jab humse bedard zamana kehata hai
Milna koi do khwabo me kitne hai naam kitabo me
Hum unme kyu naam likhayenge
Hum unme kyu naam likhayenge
Ek naya ithihas banayenge
Aur agar hum na mil paye to
To bhi ek naya ithihas banayenge
Hum tum dono jab mil jayenge
Hum tum dono jab mil jayenge
Smule VINI ATRI
|   
Mere jeewan saathi pyaar kiye ja
 |
Tere mere beech mein
Kaisa hai ye bandhan anjaana
Maine nahin jaana toone nahin jaana
Ik dor kheenche dooja dauda chalaa aaye
Kache dhaage mein bandhaa chalaa aaye
Aise jaise koyee deewana
Neend na aaye mujhe chain na aaye
Laakh yatan karoon rokaa na jaaye
Sapnon mein tera aana jaana
Smule MAZHAR SHAIK
YouTube Video

    

Ek Gaon Ki Kahaani
Raat ne kya kya khvab dikhaaye 
Rang bhare sau jaal bichhaaye 
Ankhen khuli to sapane toote 
Rah gaye gam ke kaale saaye 
Raat ne kya kya khvab dikhaaye 

o ... (ham ne to chaaha bhool hi jaayen 
Vo afasaana kyon dohoraayen ) - 2
Dil rah rah ke yaad dilaaye
Raat ne kya kya khvab dikhaaye 

(Dil men dil ka dard chhupaaye 
chalo jahaan qismat le jaaye ) - 2
duniya paraayee log paraaye 
Raat ne kya kya khvab dikhaaye 


    

Ek Haseena Do Deewaane

Do qadam tum bhi chalo do qadam ham bhi chalein
Do qadam tum bhi chalo do qadam ham bhi chalein
Manzilein
Pyaar ki
Manzilein pyaar ki aayengi chalate-chalate
Do qadam tum
Kal tak to anjaan thin hamase raahein pyaar ki
Lekin apani ho gayin ab to baanhein pyaar ki
Ab hamein
Ye jahaan
Ab hamein ye jahaan dekhega jalate-jalate
Do qadam tum
Meri jo bhi soch thi usaka hi tum ruup ho
Main huun nadiya tum ghata main chhaaya tum dhuup ho
Pyaar ye
Ho javaan
Pyaar ab ye ho javaan aankhon mein palate-palate
Do qadam tum
Aisi hi ik shaam thi dekha tha jab aapako
Tum is dhalati shaam ko roko to kuchh baat ho
Jaan se
Jaayenge
Jaan se jaayenge shaam ke dhalate-dhalate
Do qadam tum
    
Do kadam tum na chale
YouTube Video
    
Ek Hi Raasta
Chali gori pi se milan ko chali
Naina baawariya, man mein saawariya

Daar ke kajra, lat bikhra ke
Dhhalte din ko raat bana ke
Kangana khankaati, bindiya chamkaati
Chham-chham dole sajna ki gali

Komal tan hai, sau bal khaaya
Ho gayi bairan apni hi kaaya
Ghunghat khole na, mumh se bole na
Raah chalat sambhali sambhali 

Chalti chali jaaye, zindagi ki dagar


    

Ek Jaan Hain Hum
 
Yaad teri aayegi mujhko bada satayegi
Zid yeh joothi teri meri jaan leki jayegi
yaad teri....
Tera saath choota toota dil to ye maana
Kitna hai mushkil dil se yaar ko bhulana
Dil ka humesha se hai dusman zamana
Gham ye hai tune mujhe naa pehchana, naa pechchana
yaad teri ...
Bujh gaya suraj jaale chaand taare
Nazre dhuaan hai dhuaan saare nazaare
Mujhe dil lagane ki kya tune saaza di
Bina soche samjhe dil ke duniya jala di 
Duniya jala di 
yaad teri ..
Haas ke sahoonga saare duniya ke ye gham
Mar bhi gaya tho hoga pyaar nahi kam
Cheen le tujhe jo mujhse kisme hai yeh dum
Tan se juda hai to kya ek jaan hain hum, ek jaan hain hum
Ek jaan hai hum, yaad teri ...
    

Ek Kali Muskaayee
Naa tum bewafaa ho, naa hum bewafaa hain
Magar kyaa kare, apanee raahe judaa hai
Jahaa thhandee thhandee hawaa chal rahee hai
Kisee kee mohabbat wahaa jal rahee hai
Jamee aasamaan hum se dono khafa hai
Abhee kal talak to mohabbat jawaan thee
Milan hee milan thaa, judaayee kahaa thee
Magar aaj dono hee beaasaraa hai
Jamaanaa kahe meree raahon mein aa jaa
Mohabbat kahe meree baahon mein aa jaa
Wo samaze naa majabooreeyaan apanee kyaa hai
YouTube Video
    
YouTube Video
Zulf bikhrathi chali aayi ho,
Ayji socho tho zara,
Badali kaa kya hoga,
Haaye... haan.. haan..
Hont yeh nazuk nazuk, jaise kanwari kaliyan, 2
Saamne inke phiki, baagh ki saari kaliyan, 2
Yun jo muskaathi chali aayi ho, 3
Ayji socho tho zara, phoolon kaa kya hoga,
Zulf bikhrathi chali aayi ho...
Aankh sharaabi teri, haaye usmein gulabi dore, 2
Sharam ke maare deheken gaal yeh gore gore, 2
Aag bhadakathi chali aayi ho, 3
Ayji socho tho zara, sholon ka kya hoga,
Zulf bikhrathi chali aayi ho...
Le baiti hai ham ko, yeh anjaan adaayen, 2
Chod ke dar ko tere bol kahan ham jaayen, 2
Jaal pehelathi chali aayi ho, 3
Ayji socho tho zara, panchi kaa kya hoga,
Zulf bikhrathi chali aayi ho,
Ayji socho tho zara,
Badali kaa kya hoga,
Haaye... haan.. haan..
Badali kaa kya hoga,
Haaye... haaye...
    

Ek Kunwaari Ek Kunwaara
Dil todane vaalon ki mahafil mein aa gaya huun
Kaise duwaayein duun main badi mushqil mein aa gaya huun

Agar dil hamaara shishe ke badale patthar ka hota
Patthar ka hota to tuutata na phuutata maanata na ruuthata
Na baar-baar hansata na zaar-zaar rota
Agar dil hamaara

Na ehasaas hota kushi mein kushi ka - 2
Na mahasuus hota ye gam zindagi ka
Vo pritam ki galiyaan nahin na sahi
Muqaddar mein kaliyaan nahin na sahi
Ye chun-chun ke kaanton ki maala na pirota
Agar dil hamaara

Hai kaagaz ke phuulon ka ye gulistaan - 2
Mahak inaki naqali hai naqali kizaan
Sitamagar tujhe bevafa jaanata
Agar teri nazaron ko pahachaanata
Gharaunde main sapanon ke kyon kar sanjota
Agar dil hamaara

YouTube Video
    

Ek Mahal Ho Sapno Ka

Zindagii guzaarane ko saathii ek chaahiye
Husn gar nahiin sharaab hii sahii -2
Husn gar nahiin sharaab hii sahii
Jabase wo gaye hain apanii zindagii men ek nayaa daur aa gayaa hai -2
Unase kah do apane dil men unase bhii hasiin ko_ii aur aa gayaa hai
Zar ke aage sar jhukaa ke husn bewafaa hu_aa
Aaj ko_ii hamasafar nahiin rahaa to kyaa hu_aa
Mere hamasafar zanaab hii sahii -2
Zindagii guzaarane ko saathii ek chaahiye
Husn gar nahiin sharaab hii sahii -2
Ishq aur wafaa kaa sirf naam hai jahaan men kaam kuchh bhii nahiin hai -2
Dil kii chaahe kitanii azmaten ginaa_o dil kaa daam kuchh bhii nahiin hai
Aaj mainne tay kiyaa hai har tilism todanaa
Ek naye raaste pe zindagii ko modanaa
Ab ye faisalaa karaab hii sahii -2
Zindagii guzaarane ko saathii ek chaahiye
Husn gar nahiin sharaab hii sahii -2
    
Ek Musaafir Ek Haseena
Bahut shukriya badi meherbaani,
Meri zindagi mein huzoor aap aaye,
Kadam chumlun yaa ke aankhen bichha dun,
Karun kya yeh meri samajh mein na aaye,
Bahut shukriya...
[Karun pesh tum ko nazarana dil kaa,
Nazarana dil kaa -2]-2
Ke ban jaaye koyi.. afasana dil kaa
Khuda jaane aisi suhani ghadi phir-2
Meri zindagi mein palat ke na aaye
Bahut shukriya badi meherbaani,
Meri zindagi mein huzur aap aaye,
Bahut shukriya...
 Khushi to bahut hai magar yeh bhi gam hai
Magar yeh bhi gam hai
Ke yeh saath apna kadam do kadam hai
Magar yeh musaafir duaa maangta hai-2
Khuda aapse phir kisi din milaaye
Bahut shukriya badi meherbaani,
Meri zindagi mein huzur aap aaye,
Bahut shukriya..
Mujhe dar hai mujh mein gurur aa na jaaye,
Lagun jhoomne main surur aa na jaaye,
Surur aa na jaaye,
Kahin dil na mera yeh taarif sun kar-2
Tumhare bane aur mujhe bhool Jaaye,
Bahut shukriya badi meherbaani,
Meri zindagi mein huzoor aap aaye,
Kadam chumlun yaa ke aankhen bichadun,
Karun kya yeh meri samaj mein na saye,
Bahut shukriya...
Smule NS Tyagi
Smashits

    

Ek Musaafir Ek Haseena
Humko tumhaare ishq ne kyaa kyaa banaa diyaa
Jab kuchh na ban sake to tamaashaa banaa diyaa
Hamko tumhaare ishq ne kyaa-kyaa banaa diyaa

Kaashi se kuchh gharaz thi na qaabe se vaastaa
Ham dhoondhne chale the mohabbat kaa raastaa..
Dekhaa tumhaare dar ko to sar ko jhukaa diyaa
Jab kuchh na ban sake to tamaashaa banaa diyaa

Dil ki lagi ne kar diyaa donon ko beqaraar
Dohraa ke daastaan-e-mohabbat phir ek baar
Majnoon hamen aur aapko lailaa banaa diyaa
Jab kuchh na ban sake to tamaashaa banaa diyaa

Nikle teri talaash mein aur khud hi kho gaye
Kuchh ban padi na hamse to deevaane ho gaye..
Deevaangi mein phir teraa koochaa dikhaa diyaa
Jab kuchh na ban sake to tamaashaa banaa diyaa

Jalvon ki bheekh phenkne vaale ki khair ho
Pardaa hataake dekhne vaale ki khair ho..
Ban ke bhikhaari ishq ne daaman bichhaa diyaa
Jab kuchh na ban sake to tamaashaa banaa diyaa
Hamko tumhaare ishq ne kyaa kyaa banaa diyaa

YouTube Video
 
    

|
Main pyar ka raahi hoon
Main pyar ka raahi hoon
Teri julf ke saye me
Kuchh der thhahar jau
Tum ek musafir ho kab
Chhod ke chal doge
Yeh soch ke ghabarau
Main pyar ka raahi hoon

Tere bin ji lage na akele
Ho sake toh mujhe saath le le
Najanin too nahi ja sakegi
Chhodkar zindagi ke jhumele
Najanin
Najanin too nahi ja sakegi
Chhodkar zindagi ke jhumele
Jab bhi chhaye ghata
Yaad karna zara
Sat rango ki hu mai kahani

Main pyar ka raahi hoon
Teri julf ke saye me
Kuchh der thhahar jau
Tum ek musafir ho kab
Chhod ke chal doge
Yeh soch ke ghabarau
Main pyar ka raahi hoon

Pyar ki bijaliya muskuraye
Dekhiye aap par gir na jaye
Dil kahe dekhata hi rahu mai
Samane baithhakar
Yeh adaye dil kahe
Dil kahe dekhata hi rahu mai
Samane baithhakar yeh adaye
Na mai hu najani na mai hu mahjabin

Aap hi ki nazar hain diwani ho o
Main pyar ka raahi hoon
Teri julf ke saye me
Kuchh der thhahar jau
Tum ek musafir ho kab
Chhod ke chal doge
Yeh soch ke ghabarau
Main pyar ka raahi hoon.
Smule SAROJA
|
Mujhe dekh kar aap ka muskuraana-2
Muhabbat nahin hai to phir aur kya hai
Mujhe dekh kar aap ka muskuraana

Mujhe tum begaana keh lo ya ke diwaana
Magar ye diwaana jaane dil ka fasaana
Banaawat mein dil ki haqeeqat chhupaana
Muhabbat nahin hai to phir aur kya hai
Mujhe dekh kar aap ka muskuraana

Khayaalon mein khoyi khoyi rehti ho aise
Musaafir ki chalti phirti tasveer jaise
Adaa aashiqui ki nazar shaayaraana
Muhabbat nahin hai to phir aur kya hai
Mujhe dekh kar aap ka muskuraana


    
Aa aa aa aa aa aa aa 
Phir tere shahar mein lutne ko chalaa aayaa hoon -2 
Phir vahi ishq teraa phir vahi dil laayaa hoon 
Phir tere shahar mein lutne ko chalaa aayaa hoon 
Dekh kis shaan se aayaa hai teraa saudaai 
Dekh kis shaan se aayaa hai teraa saudaai 
Rshor baajon kaa kahin hai to kahin shahnaai -2 
Saari duniyaa ko tamaashaai banaa laayaa hoon 
Phir vahi ishq teraa phir vahi dil laayaa hoon 
Phir tere shahar mein ra, ko: lutne ko chalaa aayaa hoon 
Rtu na ghabraa teraa ghoonghat na main uthne doongaa 
Tu na ghabraa teraa ghoonghat na main uthne doongaa 
Rzindagi chaahe lute pyaar na lutne doongaa -2 
Dil ke sheeshe ko patthar kaa banaa laayaa hoon 
Phir vahi ishq teraa phir vahi dil laayaa hoon 
Phir tere shahar mein ra, ko: lutne ko chalaa aayaa hoon 
Rbaat rah jaati insaan rahe yaa na rahe 
Baat rah jaati insaan rahe yaa na rahe 
Ryaar ki aan rahe jaan rahe yaa na rahe -2 
Yaar ke naam par mitne to chalaa aayaa hoon 
Phir vahi ishq teraa phir vahi dil laayaa hoon 
Phir tere shahar mein lutne ko chalaa aayaa hoon 
Rteri is maang mein sindoor sajaane ke liye 
Teri is maang mein sindoor sajaane ke liye 
Rsurkh mehandi tere haathon mein rachaane ki liye -2 
Khoon-e-dil laayaa hoon aur khoon-e-jigar laayaa hoon 
Phir vahi ishq teraa phir vahi dil laayaa hoon 
Phir tere shahar mein lutne ko chalaa aayaa hoon

|   
Tumhe mohabbat hai hamase mana
bataao is ka sabut kya hai
Tumhe mohabbat hai hamase mana
bataao is ka sabut kya hai
Ye haath sine pe rakh ke dekho
Na puchho is ka sabut kya hai
Tumhe mohabbat hai hamase mana

Ye dil ki dhadakan ye sard aahe
Yahi shiqaayat hai har kisi ko
Ye dil ki dhadakan ye sard aahe
Yahi shiqaayat hai har kisi ko
Kissee haseena ko jub bhi dekha
to pyaar karne lage ussi ko
Nai bhalaa isame baat kya hai ki
Ye fasaanaa bahut sunaa hai
Ye haath sine pe rakh ke dekho
Na puchho is ka sabut kya hai
Tumhe mohabbat hai hamase mana

Jo aag seene me hai hamaare
Tumhaare hoti to jaan lete
Jo aag seene me hai hamaare
Tumhaare hoti to jaan lete
Bagair koi sabut maange
Hamaari chaahat ko maan lete
Tumhaari aankho me kaash hota
Hamaari aankho me jo nasha hai
Hamaari aankho me jo nasha hai
Yahi nasha jo rahe hameshaa to
Ham bhi chaahat kaa jaam pi le
Yahi nasha jo rahe hameshaa to
Ham bhi chaahat kaa jaam pi le

Ye daur-e-saagar yun hi chalegaa
To le ke saaqi kaa naam pi le
Magar ye ham par qaram ki nazare
Badal na jaaengi kya pataa hai

Ye haath sine pe rakh ke dekho
Na puchho is ka sabut kya hai
Tumhe mohabbat hai hamase mana

Hame to saaqi se vaastaa hai
Suraahi badale yaa jaam badale
Hame to saaqi se vaastaa hai
Suraahi badale yaa jaam badale
Tere divaane kabhi na badalege
Chaahe sara nijaam badale
Tere hi qadamo me jaan dege
Ye dil tujhe jab de diyaa hai
Tumhe mohabbat hai hamase mana.

 |
Ek Muthi Aasman

[Har koi chaahata hai ik mutthi aasamaan
Har koi dhuundhata hai, ik mutthi aasamaan]-2
Jo seene se laga le, ho aisa ik jahaan
Har koi chaahata hai, ik mutthi aasamaan
Chaand sitaaron ka mela hai, ye dil phir bhi akela hai - 2
Mahafil mein hai shahanaai, phir bhi dil mein hai tanahaai
Hai saanson mein jaise kayee toofaan, har koi, har koi
Milata nahin kya yahaan ai dil, phir kyon na mile giton ki manjil
Chalate jaana yuun hi rahon mein, bhar hi laga koi baahon main
Hamesha rahega na dil viraan, har koi, har koi
Har koi
Mujhko jeene ka koi sahaara mila, gam ke tuufaan mein koi kinaara mila
Sooni suuni thi jo raahein, ban gayi pyaar ki baahein
Lo khushiyon se meri hui pahachaan, har koi, har koi
Sauda hai rishtedaari, yaari ek dikhaava hai
Apana kya hai duniya mein, man ka ek chhalaava hai
Kahaan milega tujhako yaar, zahar bhari duniya mein pyaar
Sabhi ajanabi hain sabhi anjaan - 2, har koi, har koi
Insaan hona kaafi hai, koi farishta nahin to kya
Dilon ke rishte kya kaam hain, khuun ka rishta nahin to kya
Gair hi banate hain apane, sach ho jaate hain sapane
Jo dil ka ho sachcha agar insaan, har koi, har koi
    

Ek Phool Do Mali
 
O nanhe se farishte tujh se ye kaisaa naataa
Kaise ye dil ke rishte  -2
o nanhe se farishte
Happy birthday to you ...
Tujhe dekhane ko tarasen, kyon har ghadii nigaahen-2
Bechain sii rahatii hain, tere liye ye baahen
Mujhe khud pataa nahiin hai, mujhe tujhase pyaar kyuun hai
O nanhe se farishte, tujh se ye kaisaa naataa
Kaise ye dil ke rishte
o nanhe se farishte
Happy birthday to you ...-2
 
Naazuk saa phool hai tuu, kisii aur ke chaman kaa-2
Khushabuu se terii mahake, kyon baag mere man kaa
Merii zindagii mein chhaaii, tujhase bahaar kyuun hai
O nanhe se farishte, tujh se ye kaisaa naataa
Kaise ye dil ke rishte
o nanhe se farishte
Happy birthday to you ...-2
 
Tuu kuchh nahiin hai meraa, phir bhii ye tadap kaisii
Tujhe dekhate hii khoon mein, uthatii hai kyon lahar sii
Har vakt mujhako rahataa, teraa intazaar kyuun hai,
O nanhe se farishte, tujh se ye kaisaa naataa
Kaise ye dil ke rishte
o nanhe se farishte
Happy birthday to you ...-4
    

Ek Phool Do Mali
Tujhe sooraj kahoon ya chanda Tujhe deep kahoon ya taara
Mera naam karega roshan Jag mein mera raaj dulaara - 2

Main kab se taras raha tha Mere aangan mein koi khele
Nanhi si hansi ke badle Meri saari duniya le le
Tere sang jhool raha hai Meri baahon mein jag saara
Mera naam karega roshan Jag mein mera raaj dulaara
Tujhe sooraj kahoon ya chanda Tujhe deep kahoon ya taara
Mera naam karega roshan Jag mein mera raaj dulaara

Aaj ungli thaamke teri Tujhe main chalna sikhlaaoon
Kal haath pakadna mera Jab main booddha ho jaaoon
Tu mila to maine paaya Jeena ka naya sahaara
Mera naam karega roshan Jag mein mera raaj dulaara
Tujhe sooraj kahoon ya chanda Tujhe deep kahoon ya taara
Mera naam karega roshan Jag mein mera raaj dulaara

Mere baad bhi is duniya mein Zinda mera naam rahega
Jo bhi tujhko dekhega Tujhe mera laal kahega
Tere roop mein mil jaayega Mujhko jeevan dobaara
Mera naam karega roshan Jag mein mera raaj dulaara
Tujhe sooraj kahoon ya chanda Tujhe deep kahoon ya taara
Mera naam karega roshan Jag mein mera raaj dulaara


    

Yeh parda hata do, zara mukhda dikha do
Yeh parda hata do, zara mukhda dikha do
Hum pyaar karne waale hai, koi gair nahin
Arre hum tum pe marne waale hai koi gair nahin
O majnu ke nana mere pichhe na aana
Jaa pyaar karne waale teri khair nahin
Arre o hum pe marne waale teri khair nahin
Yeh parda hata do, zara mukhda dikha do
Hum pyaar karne waale hai, koi gair nahin
Arre hum tum pe marne waale hai koi gair nahin
Yeh parda hata do
Ek to surat pyaari upar se gusse ki laali
Bachna ae dil aaj hai koi bijli girne waali
Ek to surat pyaari upar se gusse ki laali
Bachna ae dil aaj hai koi bijli girne waali
Yeh bijli giri to tumhi pe giregi
Jaa pyaar karne waale teri khair nahin
Arre o hum pe marne waale teri khair nahin
Yeh parda hata do, zara mukhda dikha do
Hum pyaar karne waale hai, koi gair nahin
Arre hum tum pe marne waale hai koi gair nahin
Yeh parda hata do
Sukhar karo ke pade nahin hai mere ma ke dande
Ek haath me ho jaate armaan tumhaare thande
Sukhar karo ke pade nahin hai mere ma ke dande
Ek haath me ho jaate armaan tumhaare thande
Ma ko bhi samjha do, bas itna bata do
Hum pyaar karne waale hai, koi gair nahin
Arre hum tum pe marne waale hai koi gair nahin
O majnu ke nana mere pichhe na aana
Jaa pyaar karne waale teri khair nahin
Arre o hum pe marne waale teri khair nahin
Yeh parda hata do
Jahan mile do jawaan nazar hoti taqraar vahin hai
Dilbar rakhkar haath yeh keh do humse pyaar nahin hai
Jahan mile do jawaan nazar hoti taqraar vahin hai
Dilbar rakhkar haath yeh keh do humse pyaar nahin hai
Dil ki baate dilwaale nazron se hi pehchaante
Lekin kuch aise hai anari jo yeh bhi na jaante
Dil ki baate dilwaale nazron se hi pehchaante
Lekin kuch aise hai anari jo yeh bhi na jaante
Yeh pehle bataate baaraat leke aate
Hum pyaar karne waale hai, koi gair nahin
Arre hum tum pe marne waale hai koi gair nahin
O majnu ke nana
Hum pyaar karne waale hai, koi gair nahin
Arre hum tum pe marne waale hai koi gair nahin
Yeh parda hata do
Smule AMITA MISHRA
Smule O NEELU

Ek Raat
YouTube Video
Aaj tumse door ho kar aise roya mera pyaar 
Chaand royaa saath mere, raat royee baar baar 
Kuchh tumhaare bandishen hain, kuchh hain mere daayare 
Jab muqaddar hi bane dushman to koyee kyaa kare 
Haaye koyee kyaa kare, 
Is mukaddar par kiseekaa, kyaa hai aakhir ikhtiyaar 
Chaand royaa saath mere, raat royee baar baar 
Har tamannaa se judaa main, har khushi se door hun 
Jee rahaa huun kyonki jeene ke liye majaboor hun 
Haaye main majabuur hun 
Mujh ko marane bhi na degaa, ye tumhaaraa intazaar 
Chaand royaa saath mere, raat royee baar baar
    

Ek Raaz
Agar sun le to ik nagama huzuur-e-yaar laaya huun
Vo kali chataki ki dil tuuta par ik jhankaar laaya huun
Agar sun le tu ek nagama
Mujhe maaluum hai itana ki main kya meri qimat kya
Jo sab kuchh tha jo kuchh bhi nahin aisa pyaar laaya huun
Agar sun le tu ik nagama
Achaanak aa giri bijali to phir suurat yahi nikali
Ujad gaya dil to ab zakmon ka gulazaar laaya huun
Agar sun le tu ik nagama
Ajab huun main bhi divaana ajab hai mera nazaraana
Ke unake liye apani vafa ka tuuta haar laaya huun
Agar sun le tu ik nagama
YouTube Video
    
YouTube Video
Uthegi tumhaari nazar dhire dhire - 3
Muhabbat karegi asar dhire dhire
Ye maana khalish hai abhi halki halki
Khabar bhi nahin hai tum ko mere dard-e-dil ki
Kahabar ho rahegi magar dhire dhire
Uthegi tumhaari nazar
Milega jo koi hasin chupake chupake
Meri yaad aa jaayegi vahin chupake chupake
Sataayega dard-e-jigar dhire dhire
Uthegi tumhaari nazar
Sulagate hain kab se isi chaah mein ham
Pade hain nigaahein daale isi raah mein ham
Ki aaoge tum bhi idhar dhire dhire
Uthegi tumhaari nazar
    
Ek Saal
Sub kuchh lutaa ke hosh mein aaye to kya kiyaa
Dil Ne Agar Charaag Jalaaye To Kyaa Kiyaa

Hum Badanaseeb Pyaar Kee Rusawaaee Ban Gaye
Khud Hee Lagaa Ke Aag Tamaashaaee Ban Gaye
Daaman Se Apane Shole Buzaaye To Kyaa Kiyaa

Le Le Ke Haar Foolon Ke, Aayee To Thee Bahaar
Najaren Uthhaa Ke Hum Ne Hee, Dekhaa Naa ek Baar
Aankhon Se Ab Ye Parade Hataye To Kyaa Kiyaa

 
    

Ek Sapera Ek Lutera
Hum tum se judaa ho ke,
mar jaayenge ro ro ke
mar jaayenge ro ro ke

duniyaa badee zaalim hai,
dil tod ke hasatee hai
ek mauj kinaare se,
milane ko tarasatee hai
kah do naa koyee roke
kah do naa koyee roke
hum tum se judaa ho ke,

sochaa thaa kabhee do dil 
milakar naa judaa honge
maaloom na thaa hum yoon,
naakaama-e-wafaa honge
qismat ne diye dhokhe
qismat ne diye dhokhe
hum tum se judaa ho ke,

waade naheen bhoolenge,
qasmein naheen todenge
ye tay hai ke hum dono,
milanaa naheen chhodenge
jo rok sake roke
jo rok sake roke
hum tum se judaa ho ke,
mar jaayenge ro ro ke

Smule MEENAKSHI RAMNIK
YouTube Video
    

Ek Shriman Ek Shrimati
YouTube Video
Aye baithe khaaye piye khiske
Ye achhi soorat waale yaar kiske
O dene waale ne de diya mukhdaa
Jo ban gayaa dil waalo ka dukhda
Kya achhi soorat paayee jaise loot li khudaayee
Dil tode honge kis kis ke
Jawaani in ki hai zamaana in ka
Nazr inki hai nishaana inka
Kamar lachkaa ke chale jo bal khaake to
reh jaaye dil pis pis ke
In ko to vaasta apni ada se
O kaun maraa kaun louta inki balaa se
Sitam kiye jaayen pataa bhi na lagaaye
kaun roye kaun siske
    
Kuchh kahen to khafaa
YouTube Video
    
Ekka Raja Rani

Dil ko zara sa aaram denge
    
Elaan

Ek baar phir se aaja
Dil mein mere sama ja
Ek baar phir se aaja
Ai zindagi ki raahat
Ai jannaton ki jannat
Ek baar phir se aaja
Dil mein mere sama ja
Ek baar phir se aaja
Hooren nisaar tujh par
Sadaqe bahaar tujh par
Jaan-e-bahaar tu hai
Dil ka qaraar tu hai -2
Tujhko kasam haya ki
Apni har ek ada ki
Ik baar muskara ja
Dil mein mere samaan ja
Ek baar phir se aaja
Dekha hai jab se tujhko
Deewana ho raha hai
Main is se aur ye mujhse
Begaana ho raha hai
Dil hai magar nahi hai
Sab kuch hai par nahi hai
Tere bagair duniya
Ya khwaaab ya khilauna
Is khwaab se jaga ja
Dil mein mere samaan ja
Ek baar phir se aaja -2
Dil mein mere samaan ja
    
Tera jahaan aabaad hai
Mera jahaan barbaad hai
Fariyaad hai fariyaad hai
Aai aasamaan fariyaad hai
Tera jahaan aabaad hai
Mera jahaan barbaad hai
Tu khush ke tere baag ke
Sab phool aakhir khil gaye
Jin ki tamanna thi tujhe
Aakhir wo tujhko mil gaye
Mere muqaddar mein faqat
Gam aur kisi ki yaad hai
Tera jahaan aabaad hai
Mera jahaan barbaad hai
Tu kush ke tere haath mein
Ummeed ka jaam aa gaya
Meri mohabbat ke liye
Rone ka paigaam aa gaya
Hairat na kar ai bekhabar
Duniya hai ek jaadu ka ghar
Do dil hain ek ghar mein magar
Ek shaad ek naashaad hai
Fariyaad hai fariyaad hai
Ai aasamaan fariyaad hai
Tera jahaan
YouTube Video
    

Contd.....


 

    
Songbook Zipped
Free download 2MB
Ownwith Free Karaoke
A
B
C
D
E
F
G
H
I
J
K
L
M
N
O
P
Q
R
S
T
U
V W X Y
Z
Masood Rana
English songs =>
A
B
C
D
E
F
G
H
I
J
K
L
M
N
O
P
Q
R
S
T
U
V W X Y
Z
<=English songs
Smule Song Search : Song Titles with Spelling variations listed together
Happy smuling .....
      An author of a dozen medical books and Janampatri software, second prize winner in most extempore contests participated as student, DoctorKC (1944 born MBBS) solicits invitations to attend debates, declamation contests and such other literary/cultural activites in/around Delhi. No obligations either way.
Dr K Chaudhry
B-1/104 Paschim Vihar, New Delhi-110063 +91-9810570740 http://ukmall.net/doctorkc