Songbook Zipped
Free download 2MB
Ownwith Free Karaoke
A
B
C
D
E
F
G
H
I
J
K
L
M
N
O
P
Q
R
S
T
U
V W X Y
Z
Masood Rana
English songs =>
A
B
C
D
E
F
G
H
I
J
K
L
M
N
O
P
Q
R
S
T
U
V W X Y
Z
<=English songs
Smule Song Search : Song Titles with Spelling variations listed together
Happy smuling .....
     
 
Youtube videos may not stay for long. In case you find a linked video missing, please message at facebook.com/doctorkc
.....Contd
Taal

Ishq bina kya jeena
    
Ramta jogi
    

Taal se taal mila
    
Taansen
YouTube Video
Diya jalaao
    
Taare Zameen Par
Maa
    
Taj
[Jahaan men aayi deewaali bade charaagh jale
Hamaare dil men magar tere gham ke daagh jale]-2
Qadam qadam pe charaaghon ka aaj mela hai-2
Bujha hua mere dil ka diya akela hai
Kabhi na aise kisi ki khushi ka baagh jale
Hamaare dil men magar tere gham ke daagh jale
Jahaan men aayi deewaali bade charaagh jale
Hamaare dil men magar tere gham ke daagh jale
Ajeeb rang liye ab ke aayi deewaali-2
Kisi ne ghar ko jala ke manaayi deewaali
Udhar charaagh, idhar dil ka taar taar jale
Hamaare dil men magar tere gham ke daagh jale
Jahaan men aayi deewaali bade charaagh jale
Hamaare dil men magar tere gham ke daagh jale
Zamin pe utara hua qaafila sitaaron ka-2
Dilaaye yaad sama, pyaar ki bahaaron ka
Jo tum nahin ho
Jo tum nahin ho to kaise mera charaagh jale
Hamaare dil men magar tere gham ke daagh jale
Jahaan men aayi deewaali bade charaagh jale
Hamaare dil men magar tere gham ke daagh jale
    
Taj Mahal
Apanii zulfen mere shaanon pe bikhar jaane do 
Aaj roko na mujhe had se guzar jaane do 
Apanii zulfen mere shaanon pe bikhar jaane do 
Tum jo aaye to bahaaron pe shabaab aayaa hai 
In nazaaron pe bhii halkaa saa nashaa chhaayaa hai 
Apanii aankhon kaa nashaa aur bhii badh jaane do 
Apanii zulfen mere shaanon pe bikhar jaane do 
Aaj roko na mujhe had se guzar jaane do 
Apanii zulfen mere shaanon pe bikhar jaane do 
Ko : saragama 
Surk honthon pe gulaabon kaa gumaan hotaa hai 
Aisaa manzar ho jahaan hosh kahaan rahataa hai 
Ye hasiin honth mere honthon se mil jaane do 
Apanii zulfen mere shaanon pe bikhar jaane do 
Aaj roko na mujhe had se guzar jaane do 
Apanii zulfen mere shaanon pe bikhar jaane do

    



Jo baat tujh mein hai teri tasveer mein nahin, tasveer mein nahin
Jo baat tujh mein hai…
Rangon mein tera aks dhhala, tu na dhhal saki
Saanson ki aanch jism ki khushboo na dhhal saki
Tujh mein, tujh mein jo loch hai 
Meri tahreer mein nahin, tahreer mein nahin
Jo baat tujh mein hai…
Be-jaan husn mein kaha raftaar ki adaa
Inkaar ki adaa hai na iqraar ki adaa
Koyi, koyi lachak bhi 
Zulf-e-girahgeer mein nahin, girahgeer mein nahin
Jo baat tujh mein hai…
Duniya mein koyi cheez nahin hai teri tarha
Phir ek baar saamne aa jaa kissi tarha
Kya aur, kya aur ek jhalak 
Meri taqdeer mein nahin, taqdeer mein nahin girahgeer mein nahin
    

Jo waada kiya vo nibhaana padega
    
Khudaa-e-bartar teri zamin par, zamin ki khaatir ye jang kyon hai 
Har ek fatah-o-zafar ke daaman pe khoon-e-insaan kaa rang kyon hai 
Khudaa-e-bartar teri zamin par, zamin ki khaatir ye jang kyon hai 
Zamin bhi teri, hain ham bhi tere, ye milkiyat kaa savaal kyaa hai 
Ye qatl-o-khoon kaa rivaaz kyon hai, ye rasm-e-jang-o-jadaal kyaa hai 
Jinhe talab hai jahaan bhar ki, unhi kaa dil itnaa tang kyon hai 
Khudaa-e-bartar teri zamin par, zamin ki khaatir ye jang kyon hai 
Ghareeb maano shareef behnon ko amn-o-izzat ki zindagi de 
Jinhe ataa ki hai tu ne taaqat, unhe hidaayat ki roshni de 
Saron mein kibr-o-ghuroor kyon hain, dilon ke sheeshe pe jang kyon hai 
Khudaa-e-bartar teri zamin par, zamin ki khaatir ye jang kyon hai 
Khazaa ke raste pe jaanevaalon ko bach ke aane ki raah denaa 
Dilon ke gulshan ujad na jaaye, muhabbaton ko panaah denaa 
Jahaan mein jashn-e-vafaa ke badle, ye jashn-e-teer-o-tafang kyon hai 
Khudaa-e-bartar teri zamin par, zamin ki khaatir ye jang kyon hai 
Khudaa-e-bartar teri zamin par, zamin ki khaatir ye jang kyon hai 
Har ek fatah-o-zafar ke daaman pe khoon-e-insaan kaa rang kyon hai 
Khudaa-e-bartar teri zamin par, zamin ki khaatir ye jang kyon hai

    

Takshak
Mujhe rang de
    
Talaash
Junli raat ma junli raat ma
Junli raat ma junli raat ma
Aaj to junli raat ma, o devi o mai jai sai
O kaancha aaj to junli raat ma
Aaj to junli raat ma, dharti par hai aasma
Koi re banke chandani utra man ne angana
Chanda re tu ja na ja
Aaj to junli raat ma, dharti par hai aasma
Koi re banke chandani utra man ne angana
Chanda re tu ja na ja, aaj to junli raat ma
Chhuke man ko ek anjana, le uda mujhko mastana
Chhuke man ko ek anjana, le uda mujhko mastana
Chunri sarki, dhadakne laga jiya
Aaj to junli raat ma, dharti par hai aasma
Koi re banke chandani utra man ne angana
Chanda re tu ja na ja, aaj to junli raat ma
Aaj to junli raat ma, aaj to junli raat ma
Kiya hai naino ke kajal ne jiwan bhar ka wada pal me
Kiya hai naino ke kajal ne jiwan bhar ka wada pal me
Milan dhun pe thirakne laga jiya
Aaj to junli raat ma, dharti par hai aasma
Koi re banke chandani utra man ne angana
Chanda re tu ja na ja, aaj to junli raat ma
Pyar ne so so rup rachaya, tab kahi jake tumko paya
Pyar ne so so rup rachaya, tab kahi jake tumko paya
Tham le mujhko ki bas me nahi jiya
Aaj to junli raat ma, dharti par hai aasma
Koi re banke chandani utra man ne angana
Chanda re tu ja na ja, aaj to junli raat ma

|

Khoyii khoyii aankh hai rukii palak hai 
Jahaan jahaan dekhegaa tuu vahiin jhalak hai 
Khoyii khoyii 
Tere nainaa talaash karen jise 
Vo hai tujhii men kahiin deevaane 
Tere nainaa 
Yahaan do ruup hain har ek ke 
Yahaan nazaren uthaanaa zaraa dekh ke 
O jab us kii muhabbat men gum hai tuu 
Vahii suurat nazar aayegii chaar suu 
Kaun kyaa hai man ke sivaa ye koii kyaa jaane 
Tere nainaa 
Ye javaan raat le ke teraa naam
Kahe haath badhaa koii haath thaam 
O kaalii alakaa ke baadal men bijaliyaan 
Gorii baahon men chaahat kii angadaa_iyaan
Jo adaa hai ishaaraa hai pyaar kaa 
O diivaane tujhe chaahiye aur kyaa 
Par ruk jaa man kii sadaa bhii sun diivaane 
Tere nainaa
    
Masoom chehra nigaahen farebi 
Labon pe hasni aur dil mein daga hai - 2 
Mile dost jisko yahan tere jaisa - 2 
Use dushmanon ki zaroorat hai kya hai 
Masoom chehra … daga hai 
Dil tod diya, kyon itna bata de 
Phir baad mein bewafa jo chaahe mujhko saza de - 2 
Teri berukhi se pareshaan hoon mein - 2 
Na aaye samajh mein yeh kya maajra hai 
Masoom chehra … daga hai 
Kya usko kahen jo kasmon ko bhoole 
Apno se karke jafa, gairon ki baahon mein jhoole 
Nazar mein basa ke nazar pher lena - 2 
Yeh kaisi mohabbat yeh kaisi wafa hai 
Masoom chehra … daga hai 
Jo bharta nahin woh zakhm diya hai 
Mujhko nahin pyar ko, badnaam tune kiya hai - 2 
Jise maine pooja maseeha bana ke - 2 
Na tha yeh pata pattharo ka bana hai 
Masoom … daga hai 
Mile dost jisko yahan tere jaisa 
Use dushmanon ki zaroorat hai kya hai 
Masoom chehra … daga hai
    

Meri duniya hai ma
|  
Palko ke pichhe se kya tumne kah dala, phir se to farmana
Naino ne sapno ki mahafil sajaayi hai tum bhi zarur aana
Palko ke pichhe se kya tumne kah dala, phir se to farmana
Tauba meri tauba mushkil tha ek to pahle hi dil ka bahlana
Aafat phir uspe lat me tumhara mukhda chhupa ke chalna
Tauba meri tauba mushkil tha ek to pahle hi dil ka bahlana
Aafat phir uspe lat me tumhara mukhda chhupa ke chalna
Aise na bolo pad jaaye mujhko, sharmana
Palko ke pichhe se kya tumne kah dala, phir se to farmana
Naino ne sapno ki mahafil sajaayi hai tum bhi zarur aana
Palko ke pichhe se kya tumne kah dala, phir se to farmana
Duniya na dekhe dhadke mera man rasta sajan mera chhod o
Tan thartharaaye ungali hamaari dekho piya na marodo
Duniya na dekhe dhadke mera man rasta sajan mera chhod o
Tan thartharaaye ungali hamaari dekho piya na marodo
Yu na sataao mujhko bana ke, diwaana
Palko ke pichhe se kya tumne kah dala, phir se to farmana
Naino ne sapno ki mahafil sajaayi hai tum bhi zarur aana
Palko ke pichhe se kya tumne kah dala, phir se to farmana
Bach bach ke hamse o matvaali hai ye kaha ka iraada
Naazuk labo se phir karti jaao milne ka koi vaada
Bach bach ke hamse o matvaali hai ye kaha ka iraada
Naazuk labo se phir karti jaao milne ka koi vaada
Dil ye mera ghar hai tumhara, aa jaana
Palko ke pichhe se kya tumne kah dala, phir se to farmana
Naino ne sapno ki mahafil sajaayi hai tum bhi zarur aana
Palko ke pichhe se kya tumne kah dala, phir se to farmana
Smule TAARA
  |

[Zindagi se jung jeet lenge hum 
Saathi gar tera saath ho] - 2 
Haste haste hum sehlen har sitam -2 
Haath mein jo tera haath ho 
Zindagi se jung jeet lenge hum
Saathi gar tera saath ho
[Phool khilen aur murjhaayen
Suraj nikle dhal jaaye] - 2 
Sukh dukh jeevan ke do rang hain
Pal mein aaye pal mein jaaye
Gham ke kaale baadal ho ya aanson ki barsaat ho 
Zindagi se jung jeet lenge hum
Saathi gar tera saath ho
Chhoti chhoti aasha ho chhote chhote sapne ho - 2
Haste gaate ghar aangan mein chand sitare apne ho 
Tum to jugnu ban ke chamkna din ho chaahe raat ho 
Zindagi se jung jeet lenge hum
Saathi gar tera saath ho
Haste haste hum sehlen har sitam - 2 
Haath mein jo tera haath ho
    
Tamannaa
Ghar se masjid hai bahut door
Youtube Video
    
Shab ke jaage huye taaron ko
    
Tanhaayee
Bheege huye aanchal mein
    
Tapasya

Jo raah chuni tune usi raah pe raahi chalte jaana re 
Ho kitni bhi lambi raat, diya ban jalte jaana re 
Kabhi ped ka saaya ped ke kaam na aaya 
Seva mein sabhi ki usne janam bitaaya 
Koi kitne bhi phal tode, use to hai phalte jaana re 
Usi raah pe raahi chalte jaana re 
Jeevan ke safar mein aise bhi mod hain aate 
Jahan chal dete hain apne bhi tod ke naate 
Kahin dheeraj choot na jaye, tu dekh sambhalte jaana re 
Usi raah pe raahi chalte jaana re 
Tere pyar ki maala kahin jo toot bhi jaye 
Janmon ka saathi kabhi jo choot bhi jaye 
De dekar jhoothi aas tu khud ko chhalte jaana re 
Usi raah pe raahi chalte jaana re 
Teri apni kahani yeh darpan bol raha hai 
Bheegi aankh ka paani, hakikat khol raha hai 
Jis rang mein dhaale waqt, musafir dhalte jaana re 
Usi raah pe raahi chalte jaana re
    
Yahan dil ki nahi koyee keemat 
Jo chahe toda jaaye 
Jab tak na bane koi rishta 
Ham rahete hai paraye 
Manzil kya manzil ke 
Ab to mitne lage hai nishaan 
Ham bann na sake aashiyaan 
Haaye bann na saka aashiyaan

    

Taqdeer
Jab jab bahaar aayee aur phool muskaraye
Mujhe tum yaad aaye
Jab jab bhi chand nikla aur tare jagmagaaye,
Mujhe tum yaad aaye.

Apna koi tarana maine nahin banaaya
Tumne mere labon pe har ek sur sajayaa
Jab jab mere taraane duniyane gungunaaye
Mujhe tum yaad aaye.

Ek pyar aur wafa ki tasveer maanta hoon
Tasveer kya tumhe main taqdeer manta hoon
Dekhi nazar ne khushiyaan, ya dekhe gum ke saaye
Mujhe tum yaad aaye

Mumkin hai zindagaani kar jaaye bewafaai
Lekin yeh pyar woh hai jismein nahin judaai
Is pyar ke fasaane, jab jab zuban pe aaye
Mujhe tum yaad aaye.

    

Taqdeer
Agar ho sake mujhe bhool jaana 
Na phir yaad aana agar ho sake 
Mujhe bhool jaana 
Mera pyaar guzare zamaane ki hai baat 
Rahe yaad kyon bhool jaane ki baat 
Nahi koi aansu bahaane ki baat 
Na aansu bahaana agar ho sake 
Mujhe bhool jaana 
Mujhe maaf karana mere hamasafar 
Kaheen kho gaya main tumhen chhod kar 
Tumhen maine aansu die hain magar 
Sada muskaraana agar ho sake
 
    
YouTube Video
Kaise koyee jaane bhalaa
    
Taraana
YouTube Video
Goonche lage hain kahane, foolon se bhee sunaa hain taraanaa pyaar kaa 
Kahataa hain dil aa ke mil o meree jindagee 
Tanahaa naa beet jaaye, din bahaar kaa 
Abhee abhee yek hawaa kaa zonkaa yaad teree le aayaa 
Yaad ke saajon par dil ne yek pareet kaa geet sunaayaa 
O meree dilarubaa sun le jaraa, kahataa hain dil tuz se ye kyaa afasaanaa 
Dilabar mere dil mein kyaa hain, too jo ise sun letee 
Mere sang jeewan ke kitane sapane too boon letee 
O meree dilarubaa too ban shamaa, aaur dekh jaa jalataa huaa parawaanaa
    
Jali jo shaakh-e-chaman, saath baagbaan bhi jala 
Jala ke mere nasheman ko aasmaan bhi jala 
Ek main hu ek meri beqasi ki shaam hai 
Ab to tujh bin zindagi bhi mujh pe ik ilzaam hai 
Ek main hu ek meri 
Dil pe kya guzari tere jaane se koi kya kahe-2 
Saans jo aati hai vo bhi dard ka paigaam hai-2 
Ek main hu ek meri
Aansuon mujh par hanso mere muqaddar par hanso-2 
Ab kahaan vo zindagi jis ka muhabbat naam hai-2
Ek main hu ek meri beqasi ki shaam hai 
Ek main hu ek meri
    

Seene mein sulagte hain armaan
Aankho mein udaasi chhaayi hai
Ye aaj teri duniya se hamein
Taqdeer kaha le aayi hai
Seene mein sulagte hain armaan 
Kuchh aankh mein aansoo baaki hain
Jo mere gham ke saathi hain - 2
Ab dil hain na dil ke armaan hain - 2
Bas main hu meri tanhaai hai
Seene mein sulagte hain armaan 
Na tujhse gila koyi hamko
Na koyi shikaayat duniya se
Do chaar qadam jab manzil thi - 2
Qismat ne thhokar khaayi hai
Seene mein sulagte hain armaan 
Kuchh aisi aag lagi man mein
Jeene bhi na de marne bhi na de ...
Chup hu to kaleja jalta hai - 2
Bolu to teri ruswaayi hai 
Seene mein sulagte hain armaan 
    

Tawaayaf
Tere pyaar ki tamanna
    
Taxi Driver
 
Chaahe koyee khush ho chaahe gaaliyan hazaar de
Mast raam ban ke zindagi ke din guzaar de      -2
Pee ke dhaandhali karen to humko jail bhej do 
Soonghane mein kya hai ye javaab thaanedaar de 
Chaahe koyee khush ho chaahe gaaliyan hazaar de
Mast raam ban ke zindagi ke din guzaar de
Bhaav agar badha bhi daale seth yaar gam na kar 
Khaaye ja maze ke saath jab talaq udhaar de       -2 
Chaahe koyee khush ho chaahe gaaliyan hazaar de
Mast raam ban ke zindagi ke din guzaar de
Baant kar jo khaaye usape apani jaan o dil luta 
Are jo bachaaye maal usako jootiyon ka haar de        -2
Chaahe koyee khush ho chaahe gaaliyan hazaar de
Mast raam ban ke zindagi ke din guzaar de       -3
    
Dil se mila ke dil, pyaar kijiye 
Koi suhaana iqaraar kijiye 
Sharamaana kaisaa, ghabaraana kaisa 
Jeene se pahale, mar jaana kaisa 
Faasalon ki chhaanv mein 
Ras bhari fizaaon mein 
Is zindagi ko gulazaar kijiye, dil se 
Aati bahaaren, jaati bahaaren 
Kab se khadi hain, baandhi kataaren 
Chha rahi hai bekhudi 
Kah rahi hai zindagi 
Dil ki umangen bedaad kijiye, dil se 
Dil se bhula ke, rusavaaiyon ko 
Jannat bana len, tanahaaiyon ko 
Aarazu javaan hai 
Vaqt meharabaan hai 
Dil kho na jaaye khushi yaar kijiye, dil se
    
Taxi Driver
Jaayen to jaayen kahaan - 2
Samajhegaa, kaun yahaan, dard bhare dil ki zubaan
Jaayen to jaayen kahaan....

O jaane vaale, daaman chhudaa ke
Mushkil hai jeenaa, tujhako bhulaa ke
O jaane vaale
O jaane vaale, daaman chhudaa ke
Mushkil hai jeenaa, tujhako bhulaa ke
Is zindagi se to maut aasaan,
Jaayen to jaayen kahaan....

Maayuusiyon ka, majamaa hai ji mein
Kyaa rah gayaa hai, is zindagii mein
Maayuusiyon ka,
Maayuusiyon ka, majamaa hai ji mein
Kyaa rah gayaa hai, is zindagii mein
Rooh mein gam dil mein dhuyaan
Jaayen to jaayen kahaan....

Seene mein shole, saanson mein aahen
Is zindagi se, kaise nibaahen
Seene mein shole
Seene mein shole, saanson mein aahen
Is zindagi se, kaise nibaahen
Har jazaba hai veeraan,
Jaayen to jaayen kahaan....

Unka bhi gam hai, apna bhi gam hai
Ab dil ke Bachchane ki, umeed kam hai
Unka bhi gam hai,
Unka bhi gam hai apna bhi gam hai
Ab dil ke Bachchane ki, umeed kam hai
Ik kashti, sau toofaan
Jaayen to jaayen kahaan....

 
    


YouTube Video
Jeene do aur jiyo
Chadhatii javaanii ke din hain
Phir aisaa samaan milegaa kahaan
Yahii zindagaanii ke din hain
Maranaa to sabako hai jii ke bhii dekh le
Chaahat kaa ek jaam pii ke bhii dekh le
Maranaa to sabako hai
Ye havaa ye fizaa
Kahatii hai jhuum le mazaa le
Koii phuul chun, koii kvaab bun
Dil kaa muqaddar jagaa le
Maranaa to sabako hai jii ke bhii dekh le
Chaahat kaa ek jaam pii ke bhii dekh le
Maranaa to sabako hai
Ye hasiin zindagii
Hai ik rasiilaa taraanaa
Na la dil men gam, o mere sanam
Ki hai ye khushii kaa zamaanaa
Maranaa to sabako hai jii ke bhii dekh le
Chaahat kaa ek jaam pii ke bhii dekh le
Maranaa to sabako hai
    

Teen Chehere

Likhi hai yeh vidhata ne, 
Qismat gareeb ki, 
Maati ke mol, bikthi hai, 
Azamat gareeb ki 
Yeh kaise duniya wale hein, 
Tan ujale hein man kaale hein, 
Yeh kaise duniya wale hein, 
Tan ujale hein man kaale hein, 
Yeh kaise duniya wale hein 
Jab kisi gareeb ke aangan mein, 
Koyi khilke kali muskaati hai, 
Jab kisi gareeb ke aangan mein, 
Koyi khilke kali muskaati hai, 
In paapi duniya walon ki, (2) 
Aankhon mein hawas aajathi hai, (2) 
Yeh sukhi roti ke badle, 
Tan badan khareedne wale hein, 
Yeh kaise duniya wale hein 
Jab laaj ki chudi tootthi hai, 
Sindoor ka rang pighalta hai, 
Jab laaj ki chudi tootthi hai, 
Sindoor ka rang pighalta hai, 
Us waqt gareeb ke sine mein, (2) 
Ik jwala mukhi jal uttha hai, (2) 
Phir khud hi zubaan ban jaathe hein, 
Yeh hoton ke jo taale hein, 
Yeh kaise duniya wale hein 
Bhagwaan bata kyon dhan wale, 
Nirdhan par aisa zulm kare, 
Bhagwaan bata kyon dhan wale, 
Nirdhan par aisa zulm kare, 
Kyon ablavon ki maang mein yeh, (2) 
Sindoor ke badle raakh bhare, (2) 
Yeh aap hi izzat lut the hein, 
Jo izzat ke rakhwale hein, 
Yeh kaise duniya wale hein, 
Tan ujale hein man kaale hein, 
Yeh kaise duniya wale hein
    

Teen Deviyan
Aise to na dekho ke hamko nasha ho jaaye
Khubsoorat si koyi hamse khata ho jaaye (2)
Aise to na dekho…Tum hamein roko phir bhi ham na rukeinTum kaho kaafir phir bhi aise jhookeinQadam-e-naaz pe ik sajda adaa ho jaayeAise to na dekho…Yun na ho aankhein rahe kaajal gholeBadhh ke bekhudi haseen gesu kholeKhul ke phir zulfein siyaah kaali bala ho jaayeAise to na dekho…Ham to masti mein jaane kya kya kaheLab-e-naazuk se aisa na ho tumheinBeqaraari ka gila ham se siwa ho jaayeAise to na dekho…
|  
Are yaar meri tum bhi ho gajab, ghunghat toh jara odho
Aha maano kaha ab tum ho jawan, meri jaan ladakpan chhod o
Jab meri chunriya malmal ki, phir kyo na phiru jhalki-jhalki
Are yaar meri tum bhi ho gajab, ghunghat toh jara odho
Aha maano kaha ab tum ho jawan, meri jaan ladakpan chhod o
Koyi jo mujhko haath lagaayega, haath na uske aaungi
Mai tere man ki laal pari hu re, man me tere ud jaaungi
Koyi jo mujhko haath lagaayega, haath na uske aaungi
Mai tere man ki laal pari hu re, man me tere ud jaaungi
Tum pari toh jarur ho, par badi mashahur ho
Jab meri chunriya malmal ki, phir kyo na phiru jhalki-jhalki
Are yaar meri tum bhi ho gajab, ghunghat toh jara odho
Aha maano kaha ab tum ho jawan, meri jaan ladakpan chhod o
Dekh ke tarse laakh yeh bhawre, aur inhe tarsaaungi
Teri gali ki ek kali hu, tere gale lag jaaungi
Dekh ke tarse laakh yeh bhawre, aur inhe tarsaaungi
Teri gali ki ek kali hu, tere gale lag jaaungi
Tum kali toh jarur ho, par badi mashahur ho
Jab meri chunriya malmal ki, phir kyo na phiru jhalki-jhalki
Are yaar meri tum bhi ho gajab, ghunghat toh jara odho
Aha maano kaha ab tum ho jawan, meri jaan ladakpan chhod o
Dal ke ghunghta rup ko apne aur nahi mai chhupaaungi
Sundari ban ke teri balamva, aaj toh mai laharaaungi
Dal ke ghunghta rup ko apne aur nahi mai chhupaaungi
Sundari ban ke teri balamva, aaj toh mai laharaaungi
Sundari toh jarur ho, par badi mashahur ho
Jab meri chunriya malmal ki, phir kyo na phiru jhalki-jhalki
Are yaar meri tum bhi ho gajab, ghunghat toh jara odho
Are maano kaha ab tum ho jawan, meri jaan ladakpan chhod o
Jab meri chunriya malmal ki, phir kyo na phiru jhalki-jhalki
Are yaar meri tum bhi ho gajab, ghunghat toh jara odho
Are maano kaha ab tum ho jawan, meri jaan ladakpan chhod o
Smule VEENA
Smule DEEPTI Dr
  |

Teen Deviyan
Kahin bekhayaal hokar yun hi chhoo liya kissi ne - 2
Kayi khwaab dekh daale, yaha meri bekhudi ne 
Kahin bekhayaal hokar… 

Mere dil main kaun hai tu, ki huwa jahaan andhera 
Wahin sau diye jalaaye, tere rukh ki chaandni ne 
Kayi khwaab, kayi khwaab dekh daale yaha meri bekhudi ne 
Kahin bekhayaal hokar… 

Kabhi us pari ka hai kuchh, kabhi is haseen ki mehfil 
Mujhe darbadar phiraaya, mere dil ki saadgi ne 
Kayi khwaab, kayi khwaab dekh daale yaha meri bekhudi ne 
Kahin bekhayaal hokar…

Hai bhala sa naam uska, main abhi se kya bataaun 
Kiya beqaraar hanskar, mujhe ek aadmi ne 
Kayi khwaab, kayi khwaab dekh daale yaha meri bekhudi ne 
Kahin bekhayaal hokar…

Arre mujhpe naaz waalon, ye nayaazmandiyaan kyu 
Hai yahi karam tumhaara, to mujhe na doge jeene 
Kayi khwaab, kayi khwaab dekh daale yaha meri bekhudi ne 
Kahin bekhayaal hokar…


    

Teen Deviyan

Khwaab ho tum ya koi hakikat kon ho tum batlaao
Der se kitnee door khadi ho aur karib aa jaao
Subaha ko jis tarah shaam ka ho gumma
Julfon me ek chehra kuch jahir kuch nahi
Khwaab ho tum ya koi hakikat kon ho tum batlaao
Der se kitnee door khadi ho aur karib aa jaao
Dhadkano se suni ek sada oaav ki
Aur dil pe leharayee anchaal ki chhav see..
Mil hi jaatee ho tum mujko har mod par
Chaal deti ho kitne afsaane choddkar,
Khwaab ho tum ya koi hakikat kon ho tum batlaao
Der se kitnee door khadi ho aur karib aa jaao
Phir pukaro muje phir mera naam lo
Girta hua phir apnee bahon me lo
Khwaab ho tum ya koi hakikat kon ho tum batlaao
Der se kitnee door khadi ho aur karib aa jaao
    
Tees Maar Khan
Sheela ki jawaani
    
Teesri Kasam
(chalat Musafir Moh Liyo Re 
Pinjade Wali Muniya ) - 4 

Udd Udd Baithi Halvaiya Dukaniya - 2 
He Rama!!! 
Udd Udd Baithi Halavaiya Dukaniya 
Aare! 
(barafi Ke Sab Ras Le Liyo Re 
Pinjade Wali Muniya ) - 2 

Aa He Aa He ... He Raama 

Udd Udd Baithi Bajajava Dukaniya - 2 
Aahaa!!! 
Udd Udd Baithi Bajajava Dukaniya 
Aare! 
(kapda Ke Sab Ras Le Liyo Re 
Pinjade Wali Muniya ) - 3 

Jiyo Jiyo Palakdas Jiyo! 

Udd Udd Baithi Panvadiya Dukaniya - 2 
He Raamaa!!! 
Udd Udd Baithi Panavadiya Dukaniya 
Aare! 
(beeda Ke Sab Ras Le Liyo Re 
Pinjade Wali Muniya ) - 3


    
Duniya banane wale kya tere man mein samaayi
Kaaheko Duniya Banayi
Toone Kaaheko Duniya Banayi
Kahe Banaye Toone Maati Ke Putle
Dharti Yeh Pyari Pyari
Mukhde Yeh Ujle
Kahe Banaya Toone Duniya Ka Khela
Usme Lagaya Jawaani Ka Mela
Gup-Chup Tamasha Dekhe, Wah Re Teri Khudaai
Kahe Ko Duniya...
Preet Banaake Toone Jeena Sikhaaya
Hansna Sikhaaya, Rona Sikhaaya
Jeevan Ke Path Par Meet Milaye
Meet Milake Toone Sapne Sajaaye
Sapne Sajaake Toone Kahe Ko De Di Judaai
Kahe Ko Duniya...
    
Sajan Re Jhooth Mat Bolo
Khuda Ke Paas Jaana Hai 
Na Haathi Hai Na Ghoda Hai,
Wahan Paedal Hi Jana Hai

Tumhare Mehel Chaubaare 
Yahin Reh Jayenge Saare
Akad Kis Baat Ki Pyaare
Yeh Sar Phir Bhi Jhukaana Hai
Sajan Re Jhooth...

Bhalaa Kije Bhalaa Hoga
Buraa Kije Buraa Hoga
Wahi Likh-Likh Ke Kya Hoga
Yahin Sab Kuch Chukana Hai
Sajan Re Jhooth...

Ladakpan Khel Mein Khoya
Jawaani Neend Bhar Soya
Budhaapa Dekhkar Roya
Wahi Kissa Purana Hai
Sajan Re Jhooth...


    

Sajanawaan Bairee Ho Gaye Humaar
Chithheeyaan Ho To, Har Koee Baache, Bhaag Naa Baache Koee
Karamawaa Bairee Ho Gaye Humaar
Jaaye Base Parades Sajanawaa, Sautan Ke Bharamaaye
Naa Sandes Naa Koee Khabareeyaa, Rut Aaye Rut Jaaye 
Doob Gaye Hum Beech Bhanwar Me, Kar Ke Solaa Paar
Sajanawaa Bairee Ho Gaye Humaar
Sunee Sej God Moree Sunee, Maram Naa Jaane Koee
Chhatapat Tadape Pareet Bichaaree, Mamataa Aansoo Roye
Naa Koee Is Paar Humaaraa, Naa Koee Us Paar
Sajanawaa Bairee Ho Gaye Humaar
    

Teesri Manzil
Aaja aaja mai hu pyaar tera, allah allah inkar tera
Ooo aaja, aah aah aaja, aa e e aaja
Aah aah aaja, aa e e aaja
Aah aah aaja, aa e e aaja, aah aah aa
Aaja aaja mai hu pyaar tera, allah allah inkar tera
Ooo aaja, aah aah aaja, aa e e aaja
Aah aah aaja, aa e e aaja
Aah aah aaja, aa e e aaja, aah aah aa
O tumpe hajaro ki aankhe, chahiye tumko sahara ho
Palako me aavu chhupa lu, najuk tan yeh tumhara
Oo aaja aaja, mai hu pyaar tera
Allah allah inkar tera o o aaja
Aah aah aaja, aa e e aaja
Aah aah aaja, aa e e aaja
Aah aah aaja, aa e e aaja, aah aah aa
Ho mera khayal tumhe hain, maine abhi yahi jaana o
Sachha hai pyaar ke jhuta, yeh hai mujhe aajmana ho
Oo aaja aaja, dekhu pyar tera
Allah allah inkar tera o o aaja
Aah aah aaja, aa e e aaja
Aah aah aaja, aa e e aaja
Aah aah aaja, aa e e aaja, aah aah aa
O rakhna tha dil pe hamare, haath chuda ke chali ho
Ji ha jara yeh bhi kahiye, aag laga ke chali ho o
Oo aaja aaja, dekhu pyar tera
Allah allah inkar tera o o aaja
Aah aah aaja, aa e e aaja
Aah aah aaja, aa e e aaja
Aah aah aaja, aa e e aaja, aah aah aa
Smule Veena Badal
|
Deewana mujh sa nahin is ambar ke neeche-2
Aage hai qatil mera aur mein peeche peeche..
Deewana mujh sa nahin is ambar ke neeche
Aage hai qatil mera aur main peeche peeche..

Paaya hai dushman ko jab se pyaar ke kabil
Tab se yeh aalam hai rasta yaad na manzil
Neend mein jaise chalta hai koyi chalna yunhi aankhen meeche..
Deewana mujh sa nahin is ambar ke neeche
Aage hai qatil mera aur main peeche peeche..

Hamne bhi rakh di hain kal pe kal ki baaten-2
Jeevan kaa hasil hai pal do pal ki baaten
Do hi ghadi ko saath rahega karna kya hai tanha jeeke..
Deewana mujh sa nahin is ambar ke neeche
Aage hai qatil mera aur main peeche peeche..
Deewana mujh sa nahin is ambar ke neeche

 
    

Teesri Manzil

O mere sona re
    

YouTube Video
Tum ne mujhe dekhaa ho kar meharabaan
Ruk gayee ye zameen, tham gayaa aasamaan
Jaana-ye-man jaana-ye-jaan-2
Tum ne mujhe dekhaa
O o Kaheen dard ke seharaan mein, rukate chalate hote
In hothon kee hasarat mein, tapate jalate hote
Meharabaan ho gayee, zulf kee badaliyaan
Jaana-ye-man jaana-ye-jaan
Tum ne mujhe dekhaa, ho kar meharabaan
Ruk gayee ye zameen, tham gayaa aasamaan
Jaana-ye-man jaana-ye-jaan
Tum ne mujhe dekhaa
O o Lekar ye haseen jalawe, tum bhee na kahaan pahunche
Aakhir ko mere dil tak, kadamon ke nishaan pahunche
Khatam se ho gaye, raaste sab yahaan
Jaana-ye-man jaana-ye-jaan
Tum ne mujhe dekhaa, ho kar meharabaan
Ruk gayee ye zameen, tham gayaa aasamaan
Jaana-ye-man jaana-ye-jaan -2
Tum ne mujhe dekhaa
    


    
Songbook Zipped
Free download 2MB
Ownwith Free Karaoke
A
B
C
D
E
F
G
H
I
J
K
L
M
N
O
P
Q
R
S
T
U
V W X Y
Z
Masood Rana
English songs =>
A
B
C
D
E
F
G
H
I
J
K
L
M
N
O
P
Q
R
S
T
U
V W X Y
Z
<=English songs
Smule Song Search : Song Titles with Spelling variations listed together
Happy smuling .....
      An author of a dozen medical books and Janampatri software, prize winner in most extempore contests participated as student, DoctorKC (1944 born MBBS) solicits invitations to attend debates, declamation contests and such other literary/cultural activities in/around Delhi. No obligations either way.


Dr K Chaudhry
B-1/104 Paschim Vihar, New Delhi-110063 +91-9810570740 http://ukmall.net/doctorkc